Monday 22 December 2014

Mausam khizaa ka chahte hai dushmane azaa,
Lekin dayaare Sheh(as) me to chhaayi bahaar hai...



Zindagi ke jaam lelo tum dar e Shabbir(as) se

Kar diya adnaa ko aalaa shah e dee.n ne is tarah,
Khud ziyaa letaa hai suraj John ki tasweer se...

Ab shaheed e karbala se leke pyaale mout ke,
Zindagi ke jaam lelo tum dar e Shabbir(as) se..

Peshawar Attack

Jo ful peshawar me khilaa krte the Anees,
Wo aaj shehre khuld ki gulshan me khile hai...

____________________________________

Ye yazeedi, bachcho ke har daur me qaatil rahe,
Karbala me hurmula tha peshawar me taliban..


Shabih-E-Roza-E-Imam Hussain(as), Hussain Tekri, Kanodar(India).

Our ancestors who were only 17 in number had adopted Shia'ism in the year 1899 in Kanodar, Gujarat.

Now there are thousands of families of Shia, located at Kanodar, North Gujarat, India.
which is a famous place for the Azadari Programme held for 4 days on the 22nd of Safar every year at Husain Tekri, Kanodar.

The Azadari Programme is organized by Anjumane Aza-e-Husain, Kanodar est. since 1964. There are three holy shrines (Shabih)
1.Hazarat Imam Husain (a.s)
2.Hazarat Abbas (a.s)
3.Sani-e-Zahra Janabe Zainab (sa), a Mosque (Masjid), rooms for Zai'rin and a big shade for Majlis-e-Aja at Husain Takeri Campus.

Har saal is program me matami pure mulk k goshe goshe se aate hai or yaha unke liye takriban hazaar se zyada khaime nazm kiye jaate hai..

Or ye majliso ka program is saal 15 Dec se 18 Dec 2014 tak rakha gaya hai. Is mauqe par me apne kanodar ke momineen tak ek kalaam ke zariye ek paigaam pohcha raha hu..
________________

Ae dayaare kanodar ke jaannisaaro momino,
Sir pe zawwaro ki khaake paa sajao momino..

Khaadim e zawwaar e shah e karbala ho momino,
Naaz tum apne muqaddar par uthao momino...

Aagaya wo waqt k honge yaha mehmaa.n Hussain(as)
Mezbaani ke liye ab aage aao momino...

Ho tajalli aashiqe shabbir(as) ki har raah me,
Har qadam par ishq ki shamma jalao momino...

Ser kardo zikre Sheh(as) se a.gar koi bhukha mile,
Pyaase ko jaame tawalla bhi pilao monino....

Sard jo padne lage ehsaas E imaa.n aapke,
Aag inteqaam E Karbal ki jalao momino....

Ye taqaza ulfat E Shabbir(as) ka hai bilYaqee.n,
Paas hai jo bhi game Sheh(as) me lutao momino...

Jaane kitni door se saare azadaar aaye hai,
Zaairo ki raah me tum dil bichado momino.

Jannati zawwaar hai inke liye ab shauqse,
Kanodar me noor ke khaime lagao momino...

Ae Anees e muntazir Mehdi(atfs) yahi kehte hai sun,
Aaunga me jald hi khudko sawaro momino...



Sunday 23 November 2014

Aabide Bimaar Ne...


Aabide bimaar(as) ne

Gam qayamat ka uthaya Aabide bimaar(as) ne,
Bediyo ko khu.n pilaya Aabide Bimaar(as) ne...

Sang bhi rone lage zindaan ke sab qabr me,
Jab sakina ko utara Aabide bimaar(as) ne...

Parwarish islaam ki karbal me sheh(as) ne ki magar,
Deen ko chalna sikhaya Aabide Bimaar(as) ne...

Kufr ke bhi lab pe jaari nara e taqbeer tha,
Aise khutbe ko sunaya Aabide bimaar(as) ne...

Be rida ehle haram baazaar me laaye gaye,
Waqt wo kaise guzara Aabide bimaar(as) ne...

Karbala ka waqea roshan hua bas isliye,
Deep ashqo ka jalaya Aabid e Bimaad(as) ne...

Jism ke tab zakhm saare khun ro dete the jab,
Taaziyana koi khaya Aabide bimaar(as) ne...

Zille Zainab(sa) ko hamesha apne upar paa liya,
Jab bhi dhunda koi saya Aabide bimaar(as) ne...

Aankh se darya bahaake baade aashura Anees,
Dekha darya ka kinara aabide bimaar ne..

-Anees Hyder

Tuesday 18 November 2014

Ho bayaa.n kaise fazilat Sayyade Sajjad(as) ki



Ho bayaa.n kaise fazilat Sayyade Sajjad(as) ki,
Karte hai Ayyub(as) midhat Sayyade Sajjad(as) ki,

Arsh ki zeenat ibaadat sayyade sajjaad(as) ki,
Khushq o tar pe hai hukumat Sayyade Sajjad(as) ki....

Deen ki surat thi surat Sayyade Sajjad(as) ki,
Qaid hoke thi hukumat Sayyade Sajjad(as) ki..

Banke haafiz deen ko jaawed o zinda kar diya,
Thi hifazat me karamat Sayyade Sajjad(as) ki...

Sajda o matam kabhi na chhodana gar chahe tu,
Tujhko mil jaaye Shifa'at Sayyade Sajjad(as) ki...

Qaid me to kon tha imdaad karta ha magar,
Bediya karti thi khidmat sayyade sajjad(as) ki..

Shaam k darbar me qaidi se darta tha yazeed,
Thi shahenshaah jaisi Haibat sayyade sajjad(as) ki...

Paa e aqdas ko jakad de isse pehle ba khuda,
Bediyo ne li izazat Sayyade Sajjad(as) ki...

Tauk e gardan bedi o zanjeer bhi hamsheer bhi,
Dekh kar roti thi gurbat Sayyade sajjad(as) ki...

Asre aashura jo hosh aya to tanha baap tha,
Ho bayaa.n kaise musibat Sayyade Sajjad(as) ki..

Haal koi puchnewala nahi tha qaid me,
Bekasi karti ayaadat sayyaade Sajjad(as) ki....

Shaam ke baazaar me darbaar me bhi ae Anees,
Dono jaa pe hai shahadat sayyade sajjad(as) ki..

-Anees Hyder

Aagaya mahe moharram..


Aagaya mahe moharram surkh manzar hogaya,
Lo Hussain ibne Ali(as) ka aankh me ghar hogaya...

Kuch na tha pineko jabke karbala ki dasht me,
Teer khakar shah(as) pe qurbaan Asgar(as) hogaya...

Akbar(as) o Abbas(as) Qasim(as) sab gaye suye iram,
Do pahar me shah(as) ka khaali bhara ghar ho gaya...

Kar diya inkaar jab arz o sama ne shah se,
Baare khu.n besheer ka sab pe Ujaagar hogaya...

Aasmaa.n ko dekhkar Sughra(sa) tadapti reh gayi,
Surkh jab khu.n me nahake Mahe anvar hogaya...

Khushq hi bas reh gayi mashq e sakina(sa) momino,
Jab alam Abbas(as) ka yu khun me tar hogaya....

Laash hatho pe uthai khun chehre pe mala,
Akbar(as) o Besheer ka gum yu barabar hogaya...

Jhuk gaya taazim ko karbobala me aasmaa.n,
Jis ghadi neze pe uncha shah(as) ka sar ho gaya....

Bhukh me khaaye tamache pyaas me aansu piye,
Baad e Sarwar(as) ye Sakina(sa) ka muqaddar hogaya...

De raha hai yeh sada rizvan e jannat ay Anees,
Bas tumhare naam par firdaus me ghar hogaya...


QAIDI

Paththar har ek raah me khaate rahe qaidi,
Baalo se rukh apne chhupaate rahe qaidi,
Rassi se galaa apna chhudaate rahe qaidi,
Aankho se apni ashq bahaate rahe qaidi,


Lut kar bhi rab ke deen pe ehsaan kar gaye,
Aazaad bandhe hatho se islaam kar gaye..

Yatima

Hai Ye dastoor yatimo pe haath rakhte hai,
Magar La'een YATIMA pe haath Uthaate the

-Anees Hyder





جو دریا کے کنارے حوٹھ تشناں لےکے سو جایں.
انیس ایسی جہاں میں اب وفاداری نہی ہوتی. 

Jo darya ke kinaare hoth tashna leke so jaaye
Anees aisi jahaa.n me ab wafadari nahi hoti
                   
-Anees Hyder

Tuesday 4 November 2014

Runme besar zulm se laashe bahattar ho gaye


السلام علیک یا اباعبد اللہ

Runme besar zulm se laashe bahattar ho gaye,
Lut gaye ehle haram hay sab khule sar ho gaye.

Dasht me tashna sakina(sa) ne bhula di apni pyaas,
Jabke tire zulm se sairaab Asgar(as) ho gaye.

Dast e qasim(as) pe nikharta hi gaya mehdi ka rang,
Jaise jaise khun me wo apne hi tar hogaye.

Akbar(as) o Abbas (as) Qasim (as) Asgare besheer(as) bhi,
Karbala me sab k sab sheh(as) pe nichavar ho gaye.

Kuch dilo ki aas tuti to kahi tuti kamar,
Nainawa me qatl jab ghaazi dilawar ho gaye.

Khu ugal ti reh gyi meri qalam tab warq par,
Maine jab chaha k likkhu zibh sarwar(as) hogaye.

Khaake tamacha shimr ka ruksaar par jab ae Anees,
Haath bibi ne rakhe wo khun me tar hogaye


-Anees Hyder

Shaam-E-Garibaa.n

 
 Sham-E-Gharibaa.n
 شامِ غریباں 

________________________________

Aagayi Shaame gariba khaali sheh ka ghar hua,
Kisko de aawaaz zainab gaazi bhi be sar hua
آگیں شامِ غریباں کھالی شہ ع کا گر ہوا
کس کو دے آواز زینب غازی بھی بِ سر ہوا

Tabse be jaa.n ho gayi bibi rabaabe khastatan,
Saamne nazro k jab nanha ali be sar hua
تب سے بِ جاں ھو گیں بیبی ربابِ خسته تن
سامنے نظروں کے جب ننھا علی ع بِ سر ہوا

Gyaarvi k chaand ne khud ko chhupaya sharm se,
Zainab o kulsum ka hay be rida jb sar hua
گیارہویں کے چاند نے کھود کو چھوپایا شرم سے
زینب و کلسم کا حای بِ ردا جب سر ہوا

Kya kahu besheer ki taqdeer me paani na tha,
Haa.n magar sukha gala Asgar ka khu.n se tar hua...
کیا کھو بِ شر کی تقدر مے پانی نہ تھا
حاں مگر سوکھا گلا اصغر کا کھوں سے تر ہوا

Raat din gaazi hifazat kar gaye aashur tak,
shaame gurbat khiamo ko jalne me lamhabhar hua
رات دن غازی حفازت کد گیے آشور تک
شامِ غربت کھیمو کو جلنے مے لمہابھر ہوا

Aag se kurta jala munh par tamacho ke nishaa.n,
ye asar kaisa sakina ki yatimi par hua
آگ سے کرتا جلا موہ پر تماشوں کے نشاں
یے اسر کیسا سکنا کی یتیمی پر ہوا

Uske gharwaalo ko sehra me satate hai lai.n,
Jiski daivdi pr sadaa ruhul ami.n naukar hua...
اسکے گھروالوں کو صحرا مے ستاتے ھے ش
جسکی دھوڑی پر سدا رھول امن نوکر ہوا

Jal gaya hai khaali jula god khaali ho gayi,
Dard se sine me tukde haay dile madar hua...
جل گیا ہے خالی جولا گود خالی ہو گی
درد سے سینے مے ٹکڑے ہای دل مادر ہوا

Laash gaazi ki tadapti reh gayi darya k pass,
Jab sakina pr lai durre se hamlawar hua
لاش غازی کی تڑپتی رہ گیں دریا کے پاس
جب سکینا پر لعین درّے سے ہملاور ہوا

Sayyeda k dil ke tukde dasht me kaate gaye,
Binte zehra ki fuga se ek bapaa mehshar hua
سیّدا کے دل کے ٹکڑے دشت مے کاٹے گیے
بنت زھرا کی فغا سے اک بپا محشر ہوا

Aasmaa.n rone laga larzi zamee.n e karbala,
Tar lahu e sheh se jab k shimr ka khanjar hua
آسماں رونے لگا لرزی زمینِ کربلا
تر لہو ء شہ ء سے جب کے شمر کا کھنجر ہوا

Tukde tukde ho gaya qalb o jigar zainab ka tab,
Runme jab paamaal lasha e shah e mimbar hua
ٹکڑے ٹکڑے ہو گیا قلب و جیگر زینب کا جب
رن میں جب پامال لاشاے شاحے ممبر ہوا

Mar gaye ehle haram ke nanhe bachche khouf se,
Dard me inka Anees na koi bhi yavar hua...
مر گیے اہلے حرم کے ننحے بچّے خوف سے
درد مے انکا انیس نہ کوی بھی یاور ہوا

-انیس حیدر- Anees Hyder

Wednesday 29 October 2014

Hussain(as) ne




 Hussain(as) ne
___________________


Soya hua zameer jagaya Hussain(as) ne,
Insaan ko insaan banaya Hussain(as) ne...

Soam o salaat ko yu bachaya Hussain(as) ne,
Sajde me gulu apna kataya Hussain(as) ne....

Sab  kuch khuda ke dee.n pe lutaya Hussain(as) ne,
Nana se kiya wada nibhaya Hussain(as) ne...

Aisa chiraag khu.n se jalaya Hussain(as) ne,
Zulmat se shariyat ko bachaya Hussain(as) ne...

Neze pe bhi quraan sunaya Hussain(as) ne,
Haq kya hai ye jahaa.n ko bataya Hussain(as) ne...

Rumaal jo jabi.n pe sajaya Hussain ne,
Rutba yu Hur ka kar diya aalaa Hussain(as) ne...

Naam o nishaa.n na zikr o sana kuch b nahi hai,
Aise yazeediat ko mitaya Hussain(as) ne...

Ashaab chamakne lage taaro ki tarahse,
Khaime me jab charaag bujaya Hussain(as) ne...

Milkar bhi anbiya o payambar na kar sake,
Wo kaam tanha karke dikhaya Hussain(as) ne...

Firdaus ki balandi se dekar sadaa e haq,
Naare saqar se Hur ko bulaya Hussain(as) ne...

Karbal me ek waqt me shams o qamar dikhe,
Haatho pe jab Asgar(as) ko uthaya Hussain(as)...

Tufaa.n me ladkhadate huye deen e nabi ko,
Abbas ke baazu se sambhala Hussain(as) ne...

Kaafi hai rone ke liye ta hashr ye jumla,
Akbar ke janaze ko uthaya Hussain(as) ne....

Ehle haram me mach gayaa kohraam jab Anees,
Fizza se kafan apna mangaya Hussain(as) ne...

-Anees Hyder

Sunday 19 October 2014

Manqabat On Ghadeer

Meyaar deen ka hai riwayat ghadeer ki,
Momin ko hai nasib taharat ghadeer ki..
Bugze Ali k andho ko kaise dikhe bhala
ROVSHAN HAI MISLE SHAMS SADAQT GHADEER KI....
Wallaho ya'asi moka minannaas to padho...
Dekho khuda ne li hai zamanat ghadeer ki..
Lagta hai wo gharib shahenshah sa mujhe,
Bharpoor jiske dil me hai dawlat ghadeer ki...
HARIS KA HASHR DEKH KE BOLE MUNAFEQEEN,
Hyder(as) ko mubarak ho wilayat ghadeer ki...

ZULMAAT DIL ME JISKE SAQEEFA KI HAI BASI
ROVSHAN VAHA HO KAYSE ALAAMAT ZGHADEER KI.

Dikhta nahi hai haafize quraan kya tujhe,
Sure me mai'daah ke hai ayat ghadeer ki...

Ye soch kar hi aaeeye mehfil me shaikhji,
Karte he khood rasool nizamat gadeer ki....

PAHLU BATOOL APNA SHIKASTA LIE HUVE.
KAHTI THI DUSHMANO SE RIVAYAT GHADEER KI.

Kehta hai dil Anees koi to zaroor hai,
gaibat me kar raha hai hifazat ghadeer ki...

-Anees Hyder

Friday 17 October 2014

A.gar Paas tere qabr me ho ye dawaa nahi,
Ho jaega tu khaak jo khaake shifaa nahi..

-Anees Hyder

Kehta hai dil Anees ka koi to hai zaroor,
gaibat me kar raha hai hifazat ghadeer ki...

-Anees Hyder

Qabza hai aaj Khwaahar-e-Shabbeer(as) ka wahaa.N,

Haakim Yazeed(la) Shaam ka tha kal ki baat hai.

-Anees Hyder

Wednesday 1 October 2014

----Azadari----



Khushi Shabbeer(as) ke gam me hame pyaari nahi hoti,
Kisi bhi gum ki is tarha paziraa.ii nahi hoti...

Jaha bhi taaziya dikhta hai jhuk jaate haiN Hindu bhi,
Ye mushrik haiN magar inse to makkaari nahi hoti.....

YahaN paabandiye Mazhab nahi hoti juluso me,
Kahi.n hindoostaa.n jaisi azadaari nahi hoti...

Gam-e-sarwar(as) k aansu the mera zaad-e-safar bankar...
Tabaahi thi jo mehshar ki ye taiyari nahi hoti...

Yazidi zulm se islaam boodha ho gaya hota
Agar sarwar(as) tere Akbar(as) ki jaa'nbaazi nahi hoti....

Jo darya k kinaare hoth tashna leke so jaaye,
'Anees' aisi jahaa.n me ab wafadari nahi hoti....

-Anees Hyder

Aqde Ali(as) O Fatema Zehra(sa) ki raat hai....


Kyu raqs me kalam hai kyu meri dawaat hai,
Yaani nihaa.n kalaam me Koi to baat hai....

Pilo ae maikasho ki ye jaame tahoor hai,
Zamzam bhi hai kavsar bhi hai aabe hayaat hai...
Zohra ne arsh chhodke sabko bata diya,
Aqde Ali(as) O Fatema Zehra(sa) ki raat hai....
Hai kon Fatema(sa) ke barabar jahaan me,
Aayi sadaa ke fatahe khaibar ki zaat hai...
Taaro ne sajaayi dare Zehra(sa) ki sutune,
Roshan khuda ke noor se kul kainaat hai....
Shaadi ka intezaam malak dekh rahe hai,
Mehmaano ki aamad hai to masrufiaat hai..
Jibraeel hai pehlu me to rizvaan hai piche,
Kis shaan se nikli ye Ali(as) ki baraat hai...
Halka banaake baithi hai huraane jinaa sab,
Jo jashn ki markaz hai wo Zehra(sa) ki zaat hai...
Lo hogaye nikaah Ali(as) o Batool(sa) ke,
Kyu lab na muskuraae masarrat ki baat hai...
Jaari rahe kalam ki rawani teri 'Anees',
Is dar ke madhkhwaan ko milti najaat hai.....
-Anees Hyder.

Tuesday 16 September 2014

Fatema(sa), Zahra(sa) ki tarha deen ki tauqeer hai...

Fatema(sa), Zahra(sa) ki tarha deen ki tauqeer hai,
Binte Kaazim(as) Sayyeda ki hubahu tasveer hai....

Sur'ma dekha nahi aisa koi taareekh me,
Haske jo lashkar Rulaade sirf wo beshir hai....

Kyu na parwaane chale aaye dare shabbir(as) par,
Wehshato ki zulmato me bas yahi tanveer hai...

Dil se shayad hum nahi kehte hai maula Al Ajal,
Is liye hi aapke aane me ye takheer hai....

Aayate Quraan hai marta nahi koi shaheed,
Shah ka Neze pe jaake bolna tafseer hai...

Laa fataah illa Ali la saif illa zulfiqar,
Arsh me gunji sadaa naazil hui shamsheer hai....

Saat bete paake raahib bol utha ye fakhra se,
Fatema(sa) ka ladlaa to qaatibe taqdeer hai.....

Yaad ghaazi ko karo jab bhi pio paani Anees,
Chashme paani ke sabhi Abbas(as) ki Jaageer hai....

-Anees Hyder

Thursday 4 September 2014

Baaniye deen ka nigraan Abu talib(as) hai...

Baaniye deen ka nigraan Abu talib(as) hai,
Ba khuda bolta quraan Abu talib(as) hai....

Kufr ki baat na kar dhyaan se ae mufti sun,
Dar asal kaamile imaan AbuTalib(as) hai....

Ambiya aate nikaah padhne yaha Ahmed ka
Woto kr shukr nikaahkhwaan AbuTalib(as) hai..

ButParasto se nasihat karo imaa.n laaye,
Sadre avval se musalmaan AbuTalib(as) hai...

Tum na maano ye zalalat ki nishani hogi,
Din O Imaan ka mizaan AbuTalib(as) hai....

Farsh ke sath yaha dil bhi bicha do aakar,
Mehfil E jashn ka mehmaan AbuTalib(as) hai....

Ya Sin O Taha ko Imraan ne yu paalaa hai,
Jaise qur aan ka juzdaan AbuTalib(as) hai....

Rabne mursal se kaha maale khadija lelo,
Din ko chahiye ehsaan? Abutalib(as) hai...

Kisne dushwari me islaam pe ehsaan kiya,
Mohsin e deen hai imraan AbuTalib(as) hai.....

Aisa lagta he ki maula ne kaha muj ko 'Anees',
Manqabat likhde Ba-unwaan AbuTalib(as) hai....

-Anees Hyder

Deti ye sadaa qabr me Bint-E-Rasool hai....

Deti ye sadaa qabr me Bint-E-Rasool hai,
Me muntazir hu jiski wo nargis ka phool hai...

Barsaa rahe hai aag musalmaan uske ghar,
Quraan ki aayato ka jiske dar nuzool hai...

Rote hai yatimaan-E-Mohibbaan-E-Ahl-E-Bait,
Weeraan tere bagair mazaar-E-Batool(sa) hai....

Abbas(as) ki ek aas hai karbal ka inteqaam,
Maula teri Gaibat Me or ab kitna tool hai...

Gauhar'O'Moti jise kehti hai ye duniya,
Dar asl ye maula tere kadmo ki dhool hai....

Imaan samaya hai to bas Hubb-E-ALI(as) me,
Jannat hai Sheh ke gham me hamara usool hai....

Sochme aaye na kabi usko na socho,
ALI(as) ki shakhsiyat pe to hairaan uqool hai...

Ishq'O'Mohabbat ho to bas Aale Nabi(saw) se,
Warna to ye ehsaas tumhaare fuzool hai...

Mehshar me 'Anees' puchenge duniya ki kamai,
Keh dena ashq-E-Gham hi bas apna husool hai....

-Anees Hyder

Monday 18 August 2014

Dete na Sir Hussain(as) To Padta Namaaz Kon...

Dee.n ki baqaa Hussain(as) hai Samja ye raaz kon,
Dete na sir Hussain(as) to padhta namaaz kon....

Roke jo azadar ko Matam se samajlo,
Kaafir k alaawaa yu kare aitraaz kon..

Noke sina pe karke tilawat quraan ki,
Batla diya jahaan ko Hai Sarfaraaz kon...

Jo Marzi-e-ma'bud bhi soke kharid le,
Rakhta hai apni nind me aisa ai'jaaz kon....

Woto kaho hussain ne khu.n deke bachaya,
Warna khuda ke din ka karta lihaaz kon...

Har su Ali(as) Ali(as) mujhe dikhte hai jahaan me,
Dhaale hai apni zist me rabka mijaaz kon...
[Zist- Zindagi]

Hyder ki tarah ladte hai Abbas(as) wigaa me,
Dekho shuja'ato me Ali(as) ka hai naaz kon...

Karte hai bandishe wo tabarra pe kyu 'Anees',
Aaenge Azadaro me lanat se baaz kon....

-Anees Hyder

Ghazal On Independence Day....

Sun ye zamin teri hai ye asmaan hai,
Badta lahu ye jism me tere jawaan hai....

Qaatil pe gire padte hai maqtool shauq se,
Jazbo pe inke mout bhi hoti Hairaan hai.....

Karbal ke shahenshaah ka armaan hai bharat,
Saabit hua ye mulk hamara Mahaan hai....

Mulk ke shaheed ko jhukkar salaam kar,
Aazaadi k paikar me basi unki Jaan hai...

Roti ke liye ladta hai muflis jo ladai,
Kaise kahu aazaad ye hindustaan hai...

Hindu aziz isliye lagte hai 'Anees' ko,
Inke liye Hussain(as) devtaa samaan hai...

-Anees Hyder

Ashaar On Yaum-e-Gham..(Day Of Demolition Of JannatUl Baqi)

Tooti hui qabre ye rulaati hai aaj bhi,
Humko yazidiyat ye sataati hai aaj bhi....

Baba ke musalmano meri qabr hai weeraan,
Dekar ye sadaa Zehra(sa) bulaati hai aaj bhi...

Lo din wo aagaya ke Baqayya ujad gaya,
Taarikh apne ashq bahaati hai aaj bhi....

Jalta hua darwaza wo pehlu-e-shikasta,
Ummat ye tere dard chhupaati hai aaj bhi....

Bugz musalmaano ko hai aale Nabi(saw) se,
Jannatul Baqi ye bataati hai aaj bhi....

Maare na tamaachaa koi is dar se Sakina(as),
Siskiya apni wo dabaati hai aaj bhi...

Aaenge palat kar yaha Abbas(as) ek roz,
Nehre furaat khudko sajaati hai aaj bhi....

Tire sitam khaake na beshir roye the,
Asgar ko mout roke hasaati hai aaj bhi....

Uthi thi jo darwaza-e-zehra(sa) pe aag wo,
Shio ko tere maula jalaati hai aaj bhi....

Pucho to zaraa arz-e-baqi se 'Anees' tum,
Mazlumiyat ye apni sunaati hai aaj bhi....

-Anees Hyder.

Tuesday 5 August 2014

Ashaar On Fazail-E-Ahl-E-Bait(as)

Dare zehra pe wajud apne jhukaanewaale,
yahi to log h jannat k makaanowaale...

misle suraj ye zamin ko b banade roshan,
dilme hubbe ali ki shamma jalane waale....

Tu b zinda h Ali(as) naam b tera zinda,
mit gaye log sabhi tujhko mitaanewaale...

farishte honge ye ae shaikh tere akide me,
dare zehra(sa) pe h ye jula julaanewaale....

dare jannat pe muntazir h teri khud zehra(as),
kya muqddar h tera ashq bahaanewaale...

dars dete h yahi misame tammar hume,
mout se tumko daraaye nah zamaanewaale...

Roze mehshar jb Ali(as) baatenge jannat sabko,
haal kya hoga tera tab ae saqifaawaale...

kon shia h? agar puchhe to ye bataa denaa,
lahu ki dhaarse khanjar ko kaatnewaale...

maangle jo b muraade h tere dilme anees,
maangne aate h zehra se aasmaawaale...

-Anees Hyder

Ashaar On Fazail Of Maula Abbas(as)

hisaare azmato ismat ka me palaa likhkhu ,
dua zehra ki ya hyder ki tamanna likhkhu...

darmyaan fauj k dekhu to me shujaa likhkhu,
kinaare nehr ke dekhu to me wafaa likhkhu....

sirf abru k isharo se adu kaampte h,
jung k roz me abbas ko qaza likhkhu....

mariz jaate h jitne b uske roze par,
dur sab marz huye unke to shifa likhkhu.....

yuto zainab k liye parda alamdar bana,
ya to karbal me aarzuye sakina likhkhu....

jholiyaa bharte h abbas kate hatho se,
laadawaa jo b h unke liye dawa likhkhu...

Ali(as) ka naam liya to malak huye hairaan,
quraan padh liya isne sawaab kya likhu,

bolta h tu bahot mere imamo k khilaaf,
tuto naadaan h teri maa ki sab khataa likhkhu....

haazari dete h khud panjetan yakin h mujhe,
likhu me isko azaakhaanaa ya jinaa likhkhu....

zulamte shab ki mitaaye jo aaftaab use,
dare hyder ka me jaltaa hua diyaa likhkhu....

kashti islaam ki tufaan se bacha deta h,
mere husen ko me din ka naakhudaa likhkhu...

kamar khamidaa magr jazbe aasmaanose,
lashkare din me agar budha b ho jawaa.N likhkhu....

lab taraste h mere tujhse guftagu k liye,
kabtalak tujhko ae maula me arizaa likhu...

farishte baithe h is farsh pe?? ajab h 'Anees',
likhu me isko zamin ya fir aasmaan likhu...

-Anees Hyder.

Ghazal On Chaand Raat

Eid ka chaand ho jis raat tum sambhal jaanaa,
Masjide kr dena faryaad tum sambhal jaanaa....

Roze garmi ke, namaaze, wo ibadat rab ki,
Ho na jaaye kahi barbaad tum sambhal jaanaa....

Masti-E-Shoukh-E-Jawaani me nah bhulaa dena,
Kabhi rabko bhi karke yaad tum sambhal jaanaa...

Kho na jaaye ye namaazi kahi ramzaan k baad,
Masjide bhi rahe aabaad tum sambhal jaanaa...

Farz'O'Sunnat bhi tume yaad rahe eid ke din,
Hona Jaanaa kahi aazaad tum sambhal jaanaa...

-Anees Hyder

Nazm On Imame Zamana(atfs)

Imam-E-Zamana(atfs) Ki Khidmat Me....

wo konsi zamin h jispe tera noor h,
ghulaam tera hijr k zakhmose choor h...

dekhta sabkuch hu magar tujko nahi q,
sabto mere pass h bas tuhi dur hai...

dil bhi gunaahgaar hai or zehn b napaak,
gaibat Imam ki h hamara kusur hai....

kandho pe zaifo k h laashe jawaan ab..
dard to laakho hai dawa bas zahoor hai...

Sadiyo se intezaar hai Abbas ko Maula,
karbal ka inteqaam or ab kitna door hai....

Shio pe yatimo ki tarha ho rhe h zulm,
Duniya ko apne zulm pe hota ghuroor hai....

-Anees Hyder

Lo firse yaad mujhe din wo puraane aaye...

Lo firse yaad mujhe din wo puraane aaye,
Mere maashook mujhe firse rulaane aaye...

Meri mehfil me apne sath humsafar laakar,
Me jal raha tha mujhe or jalaane aaye...

Jab ke soya me khwaabgaah me unki ek roz,
Muddato baad mujhe khwaab suhaane aaye...

Kimate badti h tab ishq ki baazaaro me,
Be wafao ke jab duniya me zamaane aaye......

Thak ke soya hai satao na, ye keh dena, jo,
Baad-Az-Marg muje koi jagaane aaye...
[Baad-Az-Marg: Mout Ke Baad]

Me jo muflis tha tab aya na koi milne mujhe,
Or amiri me meri pyaar jataane aaye.....

Subh hote hi huwe aise beniyaaz ye log,
Jalti shamma bhi koi ab na bujaane aaye.....

Be-Tir'O'Teg hua qatl mera ke jab wo,
Dast-E-Hinaai muje apne dikhaane aaye...
[Dast-E-Hinaai: Mahedi Lagaye Hath]

Me raah takta raha baam-e-rafakat se 'Anees',
Tha intezaar koi dil me basaane aaye...

-Anees Hyder

Saturday 5 July 2014

Tair-E-Ummid ko uddne ki Duaa kyu nahi dete,
Apni Kashti ko samandar ki hawaa kyu nahi dete....
[Taire ummid- ummid ka panchhi]

Lagi hai aag mere pehlu me ruswaayi ki,
Daaman-E-Yaar jalaaegi bujaa kyu nahi dete....

Maange qurbaani teri Ahd-E-Wafa-E-Jaanaa,
Baa-wafaa tu hai to fir khudko mitaa kyu nahi dete.....

Baat ulfat ki chhupaani thi bataadi Sar-E-Baazaar,
Mujrim huye hum tere sazaa kyu nahi dete....

Maah'O'Mehr'O'Anjum'O'Loa-E-Chiraag ko,
Moujud agar tu hai buja kyu nahi dete....
[Maah-chaand, Anjum-Sitara]

Dil-E-Jurrat bhi kare mujhse kabhi Sargoshi,
Pyaar jab unse tu karta hai bataa kyu nahi dete....
[Sargoshi- Kaan me baat kehna]

Mile Sukun tujhe lazzat-E-Giryaa se 'Anees',
Apni yaado ko Misl-E-Ashq bahaa kyu nahi dete....
[Misl-E-Ashq- Aansu ki Tarah]

-Anees Hyder

Monday 30 June 2014

Hum mile unse magar khudko chhup chhupaake mile

Hum mile unse magar khudko chhup chhupaake mile,
Apne ashko ko Tah-E-Chasm kuch dabaake mile...
[Tah-E-Chashm - Aankho k niche]

Hasrat-E-Dil thi takallum ho kabhi unse magar,
Maherbaan Jab bhi mile khud nazar jhukaake mile...
[Takallum - COnversation/Baat Chit]

Darmyaan nafrate baaki thi magar wasl k din,
Labo pe apne tabassum thodi sajaake mile...
[Tabassum - Smile]

Mujhse milti hai teri yaad musalsal aakar,
Bas ye khwaaish hai meri tu bhi kabhi aake mile...

Shak ke darya me beh raha tha magar Shukr-E-Khuda,
Shak ki gehraayi me gauhar mujhe wafaake mile...

Nagma-E-Dil me sadaa zikr tera sunta hu,
Ghazal-E-Husn me charche teri adaake mile...
[Nagma-E-Dil - Dil ka geet/Song of Heart, Ghazal-E-Husn - Poem Of Beauty]

Zindagi humko mili na kahi duniya me 'Anees',
Hum apni mout ko aksar gale lagaake mile...

-Anees Hyder

Tuesday 24 June 2014


Mariz-E-Ishq hai tu fir bhi nah dawaa maange,
Dil-E-Betaab ye tufaan me bhi hawa maange....

Misl-E-Sehra ke me pyaasaa hua ae jaanaa,
Lab-E-Gustaakh mere tera hi nashaa maange...

Khol pinjaro ko agar ehsaas ho tere dilme,
Parinda ishq ka udneko jab fizaa maange....

Shehre ehsaas me gali hai mohabbat ki jaha,
Bhejdena agar mera koi pataa maange....

Muaaf kar dena yahi rit hai tadpaaneki,
Jabke zaalim kabhi khud zulm ki sazaa maange...

Tera wajud samaya hua hai jugnu me,
Rubaru hoke sanam tujse kyu diyaa maange....

Husn waalo se bahot maanga magar kuch na mila,
chal 'Anees' ab khuda ke ghar waha duaa maange.....

-Anees Hyder

Monday 9 June 2014

Aankhome samake mere dilme utr gaye,
pyaas or badhake mere saaki kidhr gaye.

zebetan libaase haya tha to is qadr,
aaya jo mera naam to leke thahr gaye...

Dekha jo haske baat wo krte h kisise,
is dile bekarar me tiro-tabr gaye...

Toda h baaghbaa'n ne jo ye gul, to samajkr,
Paakr ye teri zulf gule tar nikhr gaye. ..

Rakh apne husnko tu hijaabo Me hamesha,
didaare rukhe tanse kai-so h mar gaye. ..

Furkat h teri bas nah kabhi vasl hui h,
har mausam e bahaar bhi yu be-samar gaye...

Agar husn ka aashiq h tu ibrat to h yebhi,
Isme to zulaikha ke kai maalozr gaye...

Tujse yu juda hoke Anees zist nahi h,
mujse wo mere yaar yu kehkr guzar gaye...

-Anees Hyder
Humsa jo tu dikhta h hamara to nahi h,
Roshan h Jaise rukh ye sitara to nahi h,

Arsh b larzaan h ye kaisi h sadaaye,
Rudaade dile zaar tumhara to nahi h.

Baato me teri zauqe guftagu nahi kyukr,
Humse b tume ab koi pyaara to nahi h.

Udte h parinde q samandar ki wo jaanib,
Kashti se uthke dekho kinara to nahi h..

khamosh mehfilo me wo rehta h hamesha,
kya ishq'o'mohabbat ka wo maaraa to nahi h..

Waqte dafan nah dekh meri lash yu jukkar,
Dilsoz h, dilkash ye nazara to nahi h..

Shauqe tabiyat me kalam chalti Warna,
Is funse mere Jee ka guzara to nahi h...

Hamdard bahot h mere kehneko yu anees,
Dur hatke pukare wo sahara to nahi h...

-Anees Hyder.
Saaki tere maikhaane me insaaf nahi q,
Kabka tha muntazir me magar Jaam na aaya...

Hai din k ujalo me u ruswaa kiya humko,
Qaasid q mohabbat k sare-shaam na aaya...

Humne to sajaya tha bahot khub makaanko,
Afsos nim-e-shab b wo mehmaan na aaya...

Jab usne ye pucha k mohabbat h kisise,
Wo saamne mere the magar naam na aaya...

Andaaze sukhan se hi me pehchaan gaya hu,
Unka hijaabe rukh wo kisi kaam na aaya...

Sharm-o-haya ye dono tadapte h dahrme,
Par inko bachane koi insaan na aaya...

Dekha h mahve khwaab k mehshar me hu Anees,
Tujhpar to koi ishq ka ilzaam na aaya...

-Anees Hyder
Dil hogaya Tukde mera mar raha hu main,
Ruki si dhadkane h meri mar raha hu me,

Masruf wo rehte h faragat hame hi h,
Har pal us bekhabar k bina mar raha hu main,

Ye Tanhaiya, viraniya, udasiya dilki,
Koi to bataye unhe k mar raha hu main,

Kehna nah meri mout h ek khudkushi logo,
Qaatil h mera pyaar tabhi mar raha hu main...

Saanso me jo basti thi wo ab ruth gayi h,
Ruthi hui saanse h meri mar raha hu me...

Wo baate meri, nazme meri wo sher b mere,
Ye sb nah sunogi k bs ab mar raha hu main,

Wo khat mere, tohfe mere wo tujse mera pyaar,
Aaega bahot yaad tuje mar raha hu main,

Haalate bimaar nah tu dekh paegi,
aanese tere pehle hi mar raha hu main,

'Anees' unhe tu kehde janeze me na aaye,
De aakhri paigaam unhe mar raha hu main...

-Anees Haider
Ehsaas tere dilke lafzo me jatade,
Raaz tere dilke ab mujko batade,

Kuch tu kadam badaa to kuch me b badau,
Muddat ki duriyo ko tu ab jald mitade,

Wade jo bahot tune the humse kabi kiye,
Dil ye chahta h k bs unko nibhaade,

Har din wo judai k qayamat se nah kam the,
Firse yu dur jaaneki nah ab mujko sazaade,

Muddat k baad tujhko main jee bhar k dekhlu,
Chehre se apne tu ye hijaabo ko hataade,

Ho jau me madhosh na ab hosh me rahu,
Kuch aisa nasha ishqka mujpe tu chadaa de,

Baahome bharlo mujko nah ab dair karo tum,
Jannat h kya aaj ye mujhko tu dikhaade,

Socho nah judai ka mulakat me 'Anees',
Aisa nah ho ek lamha b aise tu gawaade...

-Anees Hyder.
Tanha nah tu howegi kabhi mujhpe yakin rakh,
Aansu nah tu dekhegi kabhu mujpe yakin rakh..

Agar dur me ho jau to ghabhra nah tu jana,
laotunga tere pass hi me mujhpe yakin rakh..

Insaan badal jaata hai waqt ke maanind,
Par me kabhi badlunga nahi mujhpe yakin rakh..

Shak ki jagah hai hi nahi pyaar me kahi,
Pyaar ye sachcha hai mera mujhpe yakin rakh..

Kehte ho mohabbat hai to wishwas bhi karo,
wishwas me hi pyaar hai mujhpe yakin rakh..

Majburiya hai kuch meri kuch tum bhi to samjo,
Aise nah tadpa tu mujhe mujhpe yakin rakh..

Koi nahi tere siwa is dil me ae sanam,
Tu hi to zindagi hai meri mujhpe yakin rakh..

Dil ye tera saaf hai, Khamosh ab 'Anees',
Kehneki zarurat hi nahi mujhpe yakin rakh..

-Anees Hyder.
Hai naqs mere dil pe wo nishaan tumhi to ho,
Jaari hai mere lap pe wo bayaan tumhi to ho,


Kismat ke sitaro ko dhundu me bhala kyu,
Kul meri hasrato ka aasmaan tum hi to ho...

Aab'O'hawa ki ab nah zarurat rahe mujhe,
Hu jisse me zinda wo meri jaan tumhi to ho...

Palke bicha ke sota hu me intezaar me,
Aaega jo khwaabo me wo mehmaan tumhi to ho...

Saanse to ukhadti hai 'Anees' fir bhi ye zinda hai,
Mout'O'hayaat ke bhi darmyaan tum hi to ho...

-Anees Hyder...
Karke jafaa wo puchte hai haal hai kaisa,
Andaaz ye kaisa hai ye sawaal hai kaisa...

Wo tere kabhi the hi nahi unka tu nah tha,
Unke yu ruth jaanese malaal hai kaisa...

Har baat bata deti hai khamoshi se mujhko,
Aankho me mere yaarki kamaal hai kaisa...

Shole jo uth rahe hai bagawat ke aajkal,
Hai koi kisika nahi ye saal hai kaisa...

Agar tu nahi qaatil to sharik-E-gunaah to hai,
Tu itna bata chehra tera laal hai kaisa...

Murde ki akad deta hai zindo ko kai baar,
Karta hai amiro ko asir ye maal hai kaisa...

Meto shikaar unke khayalo ka hu 'Anees',
Wajud me unke hai nihaa.n jaal ye kaisa...

-Anees Hyder.
Rukh yu hathose chhupaane ki zarurat kya h,
Ashq aankho se bahaane ki zarurat kya h..

Inko aankho se lagaakar tu padha krta tha,
khat sab unke jalaane ki zarurat kya h...

Unke aanese buja deta tha aksar inko,
Shammaa ab gharke bujaaneki jarurat kya h...

Tujhko dekhenge nahi wo kabhi ek lamha bhi ,
Naam hotho pe yu laaneki zarurat kya h...

Wo nah samjhenge wafa h tere dilme ab bhi,
Besabab pyaar jataaneki zarurat kya h...

Saans-E-Aakhir me bhi tadpega tera dil paiham,
Paas ab unko bulaaneki zarurat kya h...

Bol uthta h lahu zorse qaatil ka pata,
Naqs kadmo ke mitaane ki zarurat kya h...

Mar hi jaunga teri hijr se me zakhmi hu,
Zehar Ab Mujhko pilaane ki zarurat kya h..

Dilse Hamdard nahi hote sabhi Log yaha,
Zakhm sabko yu dikaaneki zarurat kya h....

Sochna kya h, chala tir, jaha jaaye 'Anees',
Sabhi qaatil h nishaane ki zarurat kya h...

-Anees Hyder.
Tanhai Shabe Hijr Ki Tab Or bad gayi,
Roshan tha jo chiraag bujaa kar gayaa koi...
[ shabe hijr- night of seperation ]

Rehti hai abto nam ye aankhen meri hardam,
Kuch is tarah se mujhko hasaa kar gayaa koi...


Jaa-e-mulakat pe ab ham na milenge,
mehdi lagaye haath dikha kar gayaa koi...
[ jaae mulakaat- place of meeting ]

Do-zaanu hoke khaak pe mera zamir tha,
Kuch is tarah se mujhko lutaa kar gayaa koi...

Aadaab-e-shab-vasl ka hamko pataa na tha,
Ronaa gale lagaake sikha kar gayaa koi...
[shabe vasl- night of meeting]

Hotho Ko mere uske lapo par yu see diyaa,
Pyaasaa tha meri pyaas bujhaa kar gayaa koi...

Har ghar, gali, kuchaa, ye shaher bhi hai baakhabar,
Zindagi ko meri fanaa kar gayaa koi...

ANEES tu intezaar qyu uska na karega,
Hai itna pyaar tujhse jataa kar gayaa koi...

-Anees Hyder
Is dil-e-bekaraar ko jab ke karaar tha,
Is dil ki dhadkano me dhadaktaa wo pyaar tha...


Mariz-e-ishq main hua, laadawaa hua,
Zakhmi Mujhe jo kar gaya aankho ka waar tha...


Unki justaju me har ghar meri dastak,
Hamse ab kul aashnaa unka dayaar tha...
[ justaju- search ]

Wo meri tabassum se samjhe ke main khush hai,
Mujhse bahot naa-aashnaa mera wo yaar tha...
[ naa-aashnaa- non.familiar ]

Did-e-rukh-e-yaara se wo mere chehre ka khilna,
Unse mohabbat me, wo mera izhaar tha...
[dide rukhe yaaraa- gaze of the face of beloved ]

Zindaan-e-dil-e-yaar pasand hamne kiya tha,
Ba-aasaan mayassar hame raahe faraar tha...


Sehraa-e-Mohabbat me, Main aagaaze safar tha,
Manzil ke darmyaan gamo ka gubaar tha...
[ sehraae mohabbat- desert of love ]

Us Bewafaa se teri wafae hai rang laayi,
"Anees" wafao me tu sabka meyaar tha...

-Anees Hyder
Dil me lagi hai aag bujhaane chale aao,
daaman pe daag-e-hijr dikhaane chale aao...
[ daage hijr- daage judai ]


Ranjish ho agar mujhse ya koi or gilaa ho,
Ehsaas tere dil ke jataane chale aao...
[ ranjish- Rosh ]


Dur abr-e-judai ho, did-e-aaftaab ho,
Shikwaa hi sahi dil hi dukhaane chale aao...
[ abre judai- clouds of seperation, dide aaftaab- vision of sun ]


Saahil pe mera naam tu tehreer kar gayi,
mohabbat ke wo nishaan mitaane chale aao...
[ tehreer- handwriting ]


Har mod pe nazre ye meri tujhko dhundti,
waadaa-e-mulakat nibhaane chale aao...


Andaaz-e-ishqiyaa wo teraa mujhko yaad hai,
Khwaabo me sahi mujhko sataane chale aao...


Anees wo teri khu se hai aashnaa bahot,
bas itna hi kehde ke rulaane chale aao...
[ khu-Aadat, aashnaa-familiar ]


-Anees Hyder
Hamdard-O-Hamsafar koi hamraah nahi h,
Baaki koi dilme mere ab aah nahi h..

Mat maangna jineki mere mannate koi,
Is dilko dhadakne ki koi chaah nahi h...

Dard ke darya me hu, saahil h koso dur,
Manzil ko pahochneki koi raah nahi h...

Is dahr me logo ko yu kehte huwe dekha, 
Karneko mere pass q gunaah nahi h...

Rakhte h khabar Dirham-O-Dirnaarki hardam,
Mehshar ki shakhtiyose q aagaah nahi h...

Sadko pe gire jaata maasum lahu q,
Hota ta'ajjub koi gawaah nahi h...

Padhte h namaaze Saf-E-Avval me hamesha,
Zebetan ek chiz bhi mubaah nahi h...

Khanjar ko chhupaaye h aastinome bhai,
Ho kispe bharosa koi panaah nahi h...

Mumkin h 'Anees' log ye dirham ko bolde,
Tere siwa mera koi Allaah nahi h...  

-Anees Hyder.
Raahe Haq Me Zar To Kya Sar Ko Lutana Chahiye,
Agar Hona Ho Jawed To Khudko Mitana Chahiye...

Shoukh Rakhta Hai Tu Zannat Ki Ziarat Ka To Sun,
Majlis-E-Shabbir(as) Me Aansu Bahana Chahiye...


Jisne Jalaya Hai Dar-E-Zehra(sa) Ko Wo Kaafir Hi Tha,
Usko Bhare Darbaar Me Zinda Jalana Chahiye...


Saamne Maula Ke Tera Maalo-Zar Kuch Bhi Nahi,
Inko To Bas Behlol Sa Sachcha Diwana Chahiye...


Parday-E-Gaibat Se Aajaaye Mere Maula Abhi,
Ya Rab Mujhe Mukhtar Ka Firse Zamana Chahiye...


Ishq-E-Haider Me MARE To Bhi Nahi Mitte Kabhi,
Apni Saanso Me ALI(as) Ka Wird Aanaa Chahiye...


Laakh Dushman Aa Bhi Jaaye Khouf Mat Khana 'Anees',
YA ALI(as) Kehke Tume Bas Muskurana Chahiye...


- Anees Hyder
A Poetry On Sorrow, Hope You Would Like IT....

Yu girte aansuo ki rawani koi likho,
Ujde huye gharo k kahani koi likho...

Karte hai justaju wo zamane me wafa ki,
Hai kon wafadar nishani koi likho...

MAA ke guzar Janeka hota hai kitna gum,
Dard Ye bachchoki Zubaani koi likho...

Bas Yu dhua dhua sa dikhta hai har ek su,
Hussian(as) ki wo tashna-dahani koi likho...

Zainab(as) ki alamdari wo khutbo ki balaghat,
Hai kon Fatema(sa) ki saani koi likho...

Armaan bahot the dil-E-Laila(sa) me byaah ke,
Lut ti hui Akbar(as) ki jawaani koi likho...

Uthte to bahot hath dauo me hai 'ANEES'.
Kiski Duae Rabne hai maani koi likho....

-Anees Haider..
Ye Dil Kyu Dhadakta Hai Thahar Jaaye To Acha,
Kehte Hai Mujhe Log Guzar Jaaye To Acha...

Hai Rang Ghamo Ka Mere Chehre Pe Numaya,
Ab Mujhpe Gham-E-Mout Nikhar Jaaye To Acha...

Rehmat Khuda Ki sarse Utar Jaanese Pehle,
Insaan Tera Ghurur Utar Jaaye To acha...

Uljhi Ye Zindagi Kya Ulajhti Hi Rahegi..?
Marne Se Mere Pehle Sawar Jaaye To Acha...

Zarre Ko Aaftaab Banane Pe Tu Qaadir,
Ya Rab 'Anees' Pe Teri Nazar Jaaye To Acha...

-Anees Hyder.
Apne Jazbo Se Aasmaan Ko Jukaane Waale,
KOn Hai Haq K Liye Sar Ko Kataane Waale....

Dilse Karte Hai Dua Amn Ki Saahil Pe Khade,
Aag Paani Me Charagose Lagaane Waale...

Tere Lehje Me Shabahat Ye Nazar Aati Hai,
Yaad Aate Hai Mujhe Mujhko Hasaane Waale...

Zukhm Talwaaro Ke Teero Ke Sajaa Lenge Hum,
Zulm Ke Aage Nahi Sar Ko Jukaane Waale....

Hum To Baadal Hai Balandi Me Raha Karte Hai,
Hum To Darya Hai, Kinaare Hai Zamaane Waale...

Hum To Shole Hai Hawao Se Bhadak Jaate Hai,
Hum Nahi Aag ko Funko Se Bujaane Waale...

Hum Ko Rokega Zamaanaa Ye Batao KyuKar,
Hum Hai Deewaar Me Bhi Dar Ko Banaane Waale...

Isse Kya Jeet Teri Khub Ho Sakti Hai 'Anees',
Karte Hai ZIkr Tera Tujhko Mitaane Waale....

-Anees Hyder..
Aati h khayalo me aksar nah jaane q ye baat kabhi,
Jaise tu mere hamraah chale, or ho jaaye barsaat kabhi,


sunta hu k baate krte h wo raat k jonko se aksar,
jaakr ae saba khamoshi se Krna tu meri baat kabhi.

Har saans qayamat lagti h, pal pal h mera itna bhari,
kabhi tu bhi to milne aa mujhse, de mujhko b lamhaat kabhi.

mushtaaq jahaan sara h tera, fursat hi kaha h ab tujhko,
jab yaad meri aa jaaye kabi, sunnaa mere jazbaat kabhi.

khwaabo ko b dekhte rehte h ab jaagti aankho se aksar,
Suraj ne jagaya h humko nah sone deti raat kabhi,

Kya pyaar tera ek dhokah h? waade jo kiye wo sachche h?
tanha q me rehta hu aksar? tu sochna ye har baat kabhi.


Likhne jo 'Anees' me baitha tha dhoke jo mile mujhko saare,
tb warq mere kam padne lage, kam padne lagi dawaat kabhi...

-Anees Hyder.