Monday 18 August 2014

Ashaar On Yaum-e-Gham..(Day Of Demolition Of JannatUl Baqi)

Tooti hui qabre ye rulaati hai aaj bhi,
Humko yazidiyat ye sataati hai aaj bhi....

Baba ke musalmano meri qabr hai weeraan,
Dekar ye sadaa Zehra(sa) bulaati hai aaj bhi...

Lo din wo aagaya ke Baqayya ujad gaya,
Taarikh apne ashq bahaati hai aaj bhi....

Jalta hua darwaza wo pehlu-e-shikasta,
Ummat ye tere dard chhupaati hai aaj bhi....

Bugz musalmaano ko hai aale Nabi(saw) se,
Jannatul Baqi ye bataati hai aaj bhi....

Maare na tamaachaa koi is dar se Sakina(as),
Siskiya apni wo dabaati hai aaj bhi...

Aaenge palat kar yaha Abbas(as) ek roz,
Nehre furaat khudko sajaati hai aaj bhi....

Tire sitam khaake na beshir roye the,
Asgar ko mout roke hasaati hai aaj bhi....

Uthi thi jo darwaza-e-zehra(sa) pe aag wo,
Shio ko tere maula jalaati hai aaj bhi....

Pucho to zaraa arz-e-baqi se 'Anees' tum,
Mazlumiyat ye apni sunaati hai aaj bhi....

-Anees Hyder.

No comments:

Post a Comment