Monday 9 June 2014

Is dil-e-bekaraar ko jab ke karaar tha,
Is dil ki dhadkano me dhadaktaa wo pyaar tha...


Mariz-e-ishq main hua, laadawaa hua,
Zakhmi Mujhe jo kar gaya aankho ka waar tha...


Unki justaju me har ghar meri dastak,
Hamse ab kul aashnaa unka dayaar tha...
[ justaju- search ]

Wo meri tabassum se samjhe ke main khush hai,
Mujhse bahot naa-aashnaa mera wo yaar tha...
[ naa-aashnaa- non.familiar ]

Did-e-rukh-e-yaara se wo mere chehre ka khilna,
Unse mohabbat me, wo mera izhaar tha...
[dide rukhe yaaraa- gaze of the face of beloved ]

Zindaan-e-dil-e-yaar pasand hamne kiya tha,
Ba-aasaan mayassar hame raahe faraar tha...


Sehraa-e-Mohabbat me, Main aagaaze safar tha,
Manzil ke darmyaan gamo ka gubaar tha...
[ sehraae mohabbat- desert of love ]

Us Bewafaa se teri wafae hai rang laayi,
"Anees" wafao me tu sabka meyaar tha...

-Anees Hyder

No comments:

Post a Comment