Thursday 4 September 2014

Baaniye deen ka nigraan Abu talib(as) hai...

Baaniye deen ka nigraan Abu talib(as) hai,
Ba khuda bolta quraan Abu talib(as) hai....

Kufr ki baat na kar dhyaan se ae mufti sun,
Dar asal kaamile imaan AbuTalib(as) hai....

Ambiya aate nikaah padhne yaha Ahmed ka
Woto kr shukr nikaahkhwaan AbuTalib(as) hai..

ButParasto se nasihat karo imaa.n laaye,
Sadre avval se musalmaan AbuTalib(as) hai...

Tum na maano ye zalalat ki nishani hogi,
Din O Imaan ka mizaan AbuTalib(as) hai....

Farsh ke sath yaha dil bhi bicha do aakar,
Mehfil E jashn ka mehmaan AbuTalib(as) hai....

Ya Sin O Taha ko Imraan ne yu paalaa hai,
Jaise qur aan ka juzdaan AbuTalib(as) hai....

Rabne mursal se kaha maale khadija lelo,
Din ko chahiye ehsaan? Abutalib(as) hai...

Kisne dushwari me islaam pe ehsaan kiya,
Mohsin e deen hai imraan AbuTalib(as) hai.....

Aisa lagta he ki maula ne kaha muj ko 'Anees',
Manqabat likhde Ba-unwaan AbuTalib(as) hai....

-Anees Hyder

No comments:

Post a Comment