Tuesday 4 November 2014

Runme besar zulm se laashe bahattar ho gaye


السلام علیک یا اباعبد اللہ

Runme besar zulm se laashe bahattar ho gaye,
Lut gaye ehle haram hay sab khule sar ho gaye.

Dasht me tashna sakina(sa) ne bhula di apni pyaas,
Jabke tire zulm se sairaab Asgar(as) ho gaye.

Dast e qasim(as) pe nikharta hi gaya mehdi ka rang,
Jaise jaise khun me wo apne hi tar hogaye.

Akbar(as) o Abbas (as) Qasim (as) Asgare besheer(as) bhi,
Karbala me sab k sab sheh(as) pe nichavar ho gaye.

Kuch dilo ki aas tuti to kahi tuti kamar,
Nainawa me qatl jab ghaazi dilawar ho gaye.

Khu ugal ti reh gyi meri qalam tab warq par,
Maine jab chaha k likkhu zibh sarwar(as) hogaye.

Khaake tamacha shimr ka ruksaar par jab ae Anees,
Haath bibi ne rakhe wo khun me tar hogaye


-Anees Hyder

No comments:

Post a Comment