Tuesday 18 November 2014

Aagaya mahe moharram..


Aagaya mahe moharram surkh manzar hogaya,
Lo Hussain ibne Ali(as) ka aankh me ghar hogaya...

Kuch na tha pineko jabke karbala ki dasht me,
Teer khakar shah(as) pe qurbaan Asgar(as) hogaya...

Akbar(as) o Abbas(as) Qasim(as) sab gaye suye iram,
Do pahar me shah(as) ka khaali bhara ghar ho gaya...

Kar diya inkaar jab arz o sama ne shah se,
Baare khu.n besheer ka sab pe Ujaagar hogaya...

Aasmaa.n ko dekhkar Sughra(sa) tadapti reh gayi,
Surkh jab khu.n me nahake Mahe anvar hogaya...

Khushq hi bas reh gayi mashq e sakina(sa) momino,
Jab alam Abbas(as) ka yu khun me tar hogaya....

Laash hatho pe uthai khun chehre pe mala,
Akbar(as) o Besheer ka gum yu barabar hogaya...

Jhuk gaya taazim ko karbobala me aasmaa.n,
Jis ghadi neze pe uncha shah(as) ka sar ho gaya....

Bhukh me khaaye tamache pyaas me aansu piye,
Baad e Sarwar(as) ye Sakina(sa) ka muqaddar hogaya...

De raha hai yeh sada rizvan e jannat ay Anees,
Bas tumhare naam par firdaus me ghar hogaya...


No comments:

Post a Comment