Sunday 23 November 2014

Aabide Bimaar Ne...


Aabide bimaar(as) ne

Gam qayamat ka uthaya Aabide bimaar(as) ne,
Bediyo ko khu.n pilaya Aabide Bimaar(as) ne...

Sang bhi rone lage zindaan ke sab qabr me,
Jab sakina ko utara Aabide bimaar(as) ne...

Parwarish islaam ki karbal me sheh(as) ne ki magar,
Deen ko chalna sikhaya Aabide Bimaar(as) ne...

Kufr ke bhi lab pe jaari nara e taqbeer tha,
Aise khutbe ko sunaya Aabide bimaar(as) ne...

Be rida ehle haram baazaar me laaye gaye,
Waqt wo kaise guzara Aabide bimaar(as) ne...

Karbala ka waqea roshan hua bas isliye,
Deep ashqo ka jalaya Aabid e Bimaad(as) ne...

Jism ke tab zakhm saare khun ro dete the jab,
Taaziyana koi khaya Aabide bimaar(as) ne...

Zille Zainab(sa) ko hamesha apne upar paa liya,
Jab bhi dhunda koi saya Aabide bimaar(as) ne...

Aankh se darya bahaake baade aashura Anees,
Dekha darya ka kinara aabide bimaar ne..

-Anees Hyder

No comments:

Post a Comment