Wednesday 1 October 2014

Aqde Ali(as) O Fatema Zehra(sa) ki raat hai....


Kyu raqs me kalam hai kyu meri dawaat hai,
Yaani nihaa.n kalaam me Koi to baat hai....

Pilo ae maikasho ki ye jaame tahoor hai,
Zamzam bhi hai kavsar bhi hai aabe hayaat hai...
Zohra ne arsh chhodke sabko bata diya,
Aqde Ali(as) O Fatema Zehra(sa) ki raat hai....
Hai kon Fatema(sa) ke barabar jahaan me,
Aayi sadaa ke fatahe khaibar ki zaat hai...
Taaro ne sajaayi dare Zehra(sa) ki sutune,
Roshan khuda ke noor se kul kainaat hai....
Shaadi ka intezaam malak dekh rahe hai,
Mehmaano ki aamad hai to masrufiaat hai..
Jibraeel hai pehlu me to rizvaan hai piche,
Kis shaan se nikli ye Ali(as) ki baraat hai...
Halka banaake baithi hai huraane jinaa sab,
Jo jashn ki markaz hai wo Zehra(sa) ki zaat hai...
Lo hogaye nikaah Ali(as) o Batool(sa) ke,
Kyu lab na muskuraae masarrat ki baat hai...
Jaari rahe kalam ki rawani teri 'Anees',
Is dar ke madhkhwaan ko milti najaat hai.....
-Anees Hyder.

No comments:

Post a Comment