Wednesday 29 October 2014

Hussain(as) ne




 Hussain(as) ne
___________________


Soya hua zameer jagaya Hussain(as) ne,
Insaan ko insaan banaya Hussain(as) ne...

Soam o salaat ko yu bachaya Hussain(as) ne,
Sajde me gulu apna kataya Hussain(as) ne....

Sab  kuch khuda ke dee.n pe lutaya Hussain(as) ne,
Nana se kiya wada nibhaya Hussain(as) ne...

Aisa chiraag khu.n se jalaya Hussain(as) ne,
Zulmat se shariyat ko bachaya Hussain(as) ne...

Neze pe bhi quraan sunaya Hussain(as) ne,
Haq kya hai ye jahaa.n ko bataya Hussain(as) ne...

Rumaal jo jabi.n pe sajaya Hussain ne,
Rutba yu Hur ka kar diya aalaa Hussain(as) ne...

Naam o nishaa.n na zikr o sana kuch b nahi hai,
Aise yazeediat ko mitaya Hussain(as) ne...

Ashaab chamakne lage taaro ki tarahse,
Khaime me jab charaag bujaya Hussain(as) ne...

Milkar bhi anbiya o payambar na kar sake,
Wo kaam tanha karke dikhaya Hussain(as) ne...

Firdaus ki balandi se dekar sadaa e haq,
Naare saqar se Hur ko bulaya Hussain(as) ne...

Karbal me ek waqt me shams o qamar dikhe,
Haatho pe jab Asgar(as) ko uthaya Hussain(as)...

Tufaa.n me ladkhadate huye deen e nabi ko,
Abbas ke baazu se sambhala Hussain(as) ne...

Kaafi hai rone ke liye ta hashr ye jumla,
Akbar ke janaze ko uthaya Hussain(as) ne....

Ehle haram me mach gayaa kohraam jab Anees,
Fizza se kafan apna mangaya Hussain(as) ne...

-Anees Hyder

No comments:

Post a Comment