Sunday 23 November 2014

Aabide Bimaar Ne...


Aabide bimaar(as) ne

Gam qayamat ka uthaya Aabide bimaar(as) ne,
Bediyo ko khu.n pilaya Aabide Bimaar(as) ne...

Sang bhi rone lage zindaan ke sab qabr me,
Jab sakina ko utara Aabide bimaar(as) ne...

Parwarish islaam ki karbal me sheh(as) ne ki magar,
Deen ko chalna sikhaya Aabide Bimaar(as) ne...

Kufr ke bhi lab pe jaari nara e taqbeer tha,
Aise khutbe ko sunaya Aabide bimaar(as) ne...

Be rida ehle haram baazaar me laaye gaye,
Waqt wo kaise guzara Aabide bimaar(as) ne...

Karbala ka waqea roshan hua bas isliye,
Deep ashqo ka jalaya Aabid e Bimaad(as) ne...

Jism ke tab zakhm saare khun ro dete the jab,
Taaziyana koi khaya Aabide bimaar(as) ne...

Zille Zainab(sa) ko hamesha apne upar paa liya,
Jab bhi dhunda koi saya Aabide bimaar(as) ne...

Aankh se darya bahaake baade aashura Anees,
Dekha darya ka kinara aabide bimaar ne..

-Anees Hyder

Tuesday 18 November 2014

Ho bayaa.n kaise fazilat Sayyade Sajjad(as) ki



Ho bayaa.n kaise fazilat Sayyade Sajjad(as) ki,
Karte hai Ayyub(as) midhat Sayyade Sajjad(as) ki,

Arsh ki zeenat ibaadat sayyade sajjaad(as) ki,
Khushq o tar pe hai hukumat Sayyade Sajjad(as) ki....

Deen ki surat thi surat Sayyade Sajjad(as) ki,
Qaid hoke thi hukumat Sayyade Sajjad(as) ki..

Banke haafiz deen ko jaawed o zinda kar diya,
Thi hifazat me karamat Sayyade Sajjad(as) ki...

Sajda o matam kabhi na chhodana gar chahe tu,
Tujhko mil jaaye Shifa'at Sayyade Sajjad(as) ki...

Qaid me to kon tha imdaad karta ha magar,
Bediya karti thi khidmat sayyade sajjad(as) ki..

Shaam k darbar me qaidi se darta tha yazeed,
Thi shahenshaah jaisi Haibat sayyade sajjad(as) ki...

Paa e aqdas ko jakad de isse pehle ba khuda,
Bediyo ne li izazat Sayyade Sajjad(as) ki...

Tauk e gardan bedi o zanjeer bhi hamsheer bhi,
Dekh kar roti thi gurbat Sayyade sajjad(as) ki...

Asre aashura jo hosh aya to tanha baap tha,
Ho bayaa.n kaise musibat Sayyade Sajjad(as) ki..

Haal koi puchnewala nahi tha qaid me,
Bekasi karti ayaadat sayyaade Sajjad(as) ki....

Shaam ke baazaar me darbaar me bhi ae Anees,
Dono jaa pe hai shahadat sayyade sajjad(as) ki..

-Anees Hyder

Aagaya mahe moharram..


Aagaya mahe moharram surkh manzar hogaya,
Lo Hussain ibne Ali(as) ka aankh me ghar hogaya...

Kuch na tha pineko jabke karbala ki dasht me,
Teer khakar shah(as) pe qurbaan Asgar(as) hogaya...

Akbar(as) o Abbas(as) Qasim(as) sab gaye suye iram,
Do pahar me shah(as) ka khaali bhara ghar ho gaya...

Kar diya inkaar jab arz o sama ne shah se,
Baare khu.n besheer ka sab pe Ujaagar hogaya...

Aasmaa.n ko dekhkar Sughra(sa) tadapti reh gayi,
Surkh jab khu.n me nahake Mahe anvar hogaya...

Khushq hi bas reh gayi mashq e sakina(sa) momino,
Jab alam Abbas(as) ka yu khun me tar hogaya....

Laash hatho pe uthai khun chehre pe mala,
Akbar(as) o Besheer ka gum yu barabar hogaya...

Jhuk gaya taazim ko karbobala me aasmaa.n,
Jis ghadi neze pe uncha shah(as) ka sar ho gaya....

Bhukh me khaaye tamache pyaas me aansu piye,
Baad e Sarwar(as) ye Sakina(sa) ka muqaddar hogaya...

De raha hai yeh sada rizvan e jannat ay Anees,
Bas tumhare naam par firdaus me ghar hogaya...


QAIDI

Paththar har ek raah me khaate rahe qaidi,
Baalo se rukh apne chhupaate rahe qaidi,
Rassi se galaa apna chhudaate rahe qaidi,
Aankho se apni ashq bahaate rahe qaidi,


Lut kar bhi rab ke deen pe ehsaan kar gaye,
Aazaad bandhe hatho se islaam kar gaye..

Yatima

Hai Ye dastoor yatimo pe haath rakhte hai,
Magar La'een YATIMA pe haath Uthaate the

-Anees Hyder





جو دریا کے کنارے حوٹھ تشناں لےکے سو جایں.
انیس ایسی جہاں میں اب وفاداری نہی ہوتی. 

Jo darya ke kinaare hoth tashna leke so jaaye
Anees aisi jahaa.n me ab wafadari nahi hoti
                   
-Anees Hyder

Tuesday 4 November 2014

Runme besar zulm se laashe bahattar ho gaye


السلام علیک یا اباعبد اللہ

Runme besar zulm se laashe bahattar ho gaye,
Lut gaye ehle haram hay sab khule sar ho gaye.

Dasht me tashna sakina(sa) ne bhula di apni pyaas,
Jabke tire zulm se sairaab Asgar(as) ho gaye.

Dast e qasim(as) pe nikharta hi gaya mehdi ka rang,
Jaise jaise khun me wo apne hi tar hogaye.

Akbar(as) o Abbas (as) Qasim (as) Asgare besheer(as) bhi,
Karbala me sab k sab sheh(as) pe nichavar ho gaye.

Kuch dilo ki aas tuti to kahi tuti kamar,
Nainawa me qatl jab ghaazi dilawar ho gaye.

Khu ugal ti reh gyi meri qalam tab warq par,
Maine jab chaha k likkhu zibh sarwar(as) hogaye.

Khaake tamacha shimr ka ruksaar par jab ae Anees,
Haath bibi ne rakhe wo khun me tar hogaye


-Anees Hyder

Shaam-E-Garibaa.n

 
 Sham-E-Gharibaa.n
 شامِ غریباں 

________________________________

Aagayi Shaame gariba khaali sheh ka ghar hua,
Kisko de aawaaz zainab gaazi bhi be sar hua
آگیں شامِ غریباں کھالی شہ ع کا گر ہوا
کس کو دے آواز زینب غازی بھی بِ سر ہوا

Tabse be jaa.n ho gayi bibi rabaabe khastatan,
Saamne nazro k jab nanha ali be sar hua
تب سے بِ جاں ھو گیں بیبی ربابِ خسته تن
سامنے نظروں کے جب ننھا علی ع بِ سر ہوا

Gyaarvi k chaand ne khud ko chhupaya sharm se,
Zainab o kulsum ka hay be rida jb sar hua
گیارہویں کے چاند نے کھود کو چھوپایا شرم سے
زینب و کلسم کا حای بِ ردا جب سر ہوا

Kya kahu besheer ki taqdeer me paani na tha,
Haa.n magar sukha gala Asgar ka khu.n se tar hua...
کیا کھو بِ شر کی تقدر مے پانی نہ تھا
حاں مگر سوکھا گلا اصغر کا کھوں سے تر ہوا

Raat din gaazi hifazat kar gaye aashur tak,
shaame gurbat khiamo ko jalne me lamhabhar hua
رات دن غازی حفازت کد گیے آشور تک
شامِ غربت کھیمو کو جلنے مے لمہابھر ہوا

Aag se kurta jala munh par tamacho ke nishaa.n,
ye asar kaisa sakina ki yatimi par hua
آگ سے کرتا جلا موہ پر تماشوں کے نشاں
یے اسر کیسا سکنا کی یتیمی پر ہوا

Uske gharwaalo ko sehra me satate hai lai.n,
Jiski daivdi pr sadaa ruhul ami.n naukar hua...
اسکے گھروالوں کو صحرا مے ستاتے ھے ش
جسکی دھوڑی پر سدا رھول امن نوکر ہوا

Jal gaya hai khaali jula god khaali ho gayi,
Dard se sine me tukde haay dile madar hua...
جل گیا ہے خالی جولا گود خالی ہو گی
درد سے سینے مے ٹکڑے ہای دل مادر ہوا

Laash gaazi ki tadapti reh gayi darya k pass,
Jab sakina pr lai durre se hamlawar hua
لاش غازی کی تڑپتی رہ گیں دریا کے پاس
جب سکینا پر لعین درّے سے ہملاور ہوا

Sayyeda k dil ke tukde dasht me kaate gaye,
Binte zehra ki fuga se ek bapaa mehshar hua
سیّدا کے دل کے ٹکڑے دشت مے کاٹے گیے
بنت زھرا کی فغا سے اک بپا محشر ہوا

Aasmaa.n rone laga larzi zamee.n e karbala,
Tar lahu e sheh se jab k shimr ka khanjar hua
آسماں رونے لگا لرزی زمینِ کربلا
تر لہو ء شہ ء سے جب کے شمر کا کھنجر ہوا

Tukde tukde ho gaya qalb o jigar zainab ka tab,
Runme jab paamaal lasha e shah e mimbar hua
ٹکڑے ٹکڑے ہو گیا قلب و جیگر زینب کا جب
رن میں جب پامال لاشاے شاحے ممبر ہوا

Mar gaye ehle haram ke nanhe bachche khouf se,
Dard me inka Anees na koi bhi yavar hua...
مر گیے اہلے حرم کے ننحے بچّے خوف سے
درد مے انکا انیس نہ کوی بھی یاور ہوا

-انیس حیدر- Anees Hyder