Wednesday 29 October 2014

Hussain(as) ne




 Hussain(as) ne
___________________


Soya hua zameer jagaya Hussain(as) ne,
Insaan ko insaan banaya Hussain(as) ne...

Soam o salaat ko yu bachaya Hussain(as) ne,
Sajde me gulu apna kataya Hussain(as) ne....

Sab  kuch khuda ke dee.n pe lutaya Hussain(as) ne,
Nana se kiya wada nibhaya Hussain(as) ne...

Aisa chiraag khu.n se jalaya Hussain(as) ne,
Zulmat se shariyat ko bachaya Hussain(as) ne...

Neze pe bhi quraan sunaya Hussain(as) ne,
Haq kya hai ye jahaa.n ko bataya Hussain(as) ne...

Rumaal jo jabi.n pe sajaya Hussain ne,
Rutba yu Hur ka kar diya aalaa Hussain(as) ne...

Naam o nishaa.n na zikr o sana kuch b nahi hai,
Aise yazeediat ko mitaya Hussain(as) ne...

Ashaab chamakne lage taaro ki tarahse,
Khaime me jab charaag bujaya Hussain(as) ne...

Milkar bhi anbiya o payambar na kar sake,
Wo kaam tanha karke dikhaya Hussain(as) ne...

Firdaus ki balandi se dekar sadaa e haq,
Naare saqar se Hur ko bulaya Hussain(as) ne...

Karbal me ek waqt me shams o qamar dikhe,
Haatho pe jab Asgar(as) ko uthaya Hussain(as)...

Tufaa.n me ladkhadate huye deen e nabi ko,
Abbas ke baazu se sambhala Hussain(as) ne...

Kaafi hai rone ke liye ta hashr ye jumla,
Akbar ke janaze ko uthaya Hussain(as) ne....

Ehle haram me mach gayaa kohraam jab Anees,
Fizza se kafan apna mangaya Hussain(as) ne...

-Anees Hyder

Sunday 19 October 2014

Manqabat On Ghadeer

Meyaar deen ka hai riwayat ghadeer ki,
Momin ko hai nasib taharat ghadeer ki..
Bugze Ali k andho ko kaise dikhe bhala
ROVSHAN HAI MISLE SHAMS SADAQT GHADEER KI....
Wallaho ya'asi moka minannaas to padho...
Dekho khuda ne li hai zamanat ghadeer ki..
Lagta hai wo gharib shahenshah sa mujhe,
Bharpoor jiske dil me hai dawlat ghadeer ki...
HARIS KA HASHR DEKH KE BOLE MUNAFEQEEN,
Hyder(as) ko mubarak ho wilayat ghadeer ki...

ZULMAAT DIL ME JISKE SAQEEFA KI HAI BASI
ROVSHAN VAHA HO KAYSE ALAAMAT ZGHADEER KI.

Dikhta nahi hai haafize quraan kya tujhe,
Sure me mai'daah ke hai ayat ghadeer ki...

Ye soch kar hi aaeeye mehfil me shaikhji,
Karte he khood rasool nizamat gadeer ki....

PAHLU BATOOL APNA SHIKASTA LIE HUVE.
KAHTI THI DUSHMANO SE RIVAYAT GHADEER KI.

Kehta hai dil Anees koi to zaroor hai,
gaibat me kar raha hai hifazat ghadeer ki...

-Anees Hyder

Friday 17 October 2014

A.gar Paas tere qabr me ho ye dawaa nahi,
Ho jaega tu khaak jo khaake shifaa nahi..

-Anees Hyder

Kehta hai dil Anees ka koi to hai zaroor,
gaibat me kar raha hai hifazat ghadeer ki...

-Anees Hyder

Qabza hai aaj Khwaahar-e-Shabbeer(as) ka wahaa.N,

Haakim Yazeed(la) Shaam ka tha kal ki baat hai.

-Anees Hyder

Wednesday 1 October 2014

----Azadari----



Khushi Shabbeer(as) ke gam me hame pyaari nahi hoti,
Kisi bhi gum ki is tarha paziraa.ii nahi hoti...

Jaha bhi taaziya dikhta hai jhuk jaate haiN Hindu bhi,
Ye mushrik haiN magar inse to makkaari nahi hoti.....

YahaN paabandiye Mazhab nahi hoti juluso me,
Kahi.n hindoostaa.n jaisi azadaari nahi hoti...

Gam-e-sarwar(as) k aansu the mera zaad-e-safar bankar...
Tabaahi thi jo mehshar ki ye taiyari nahi hoti...

Yazidi zulm se islaam boodha ho gaya hota
Agar sarwar(as) tere Akbar(as) ki jaa'nbaazi nahi hoti....

Jo darya k kinaare hoth tashna leke so jaaye,
'Anees' aisi jahaa.n me ab wafadari nahi hoti....

-Anees Hyder

Aqde Ali(as) O Fatema Zehra(sa) ki raat hai....


Kyu raqs me kalam hai kyu meri dawaat hai,
Yaani nihaa.n kalaam me Koi to baat hai....

Pilo ae maikasho ki ye jaame tahoor hai,
Zamzam bhi hai kavsar bhi hai aabe hayaat hai...
Zohra ne arsh chhodke sabko bata diya,
Aqde Ali(as) O Fatema Zehra(sa) ki raat hai....
Hai kon Fatema(sa) ke barabar jahaan me,
Aayi sadaa ke fatahe khaibar ki zaat hai...
Taaro ne sajaayi dare Zehra(sa) ki sutune,
Roshan khuda ke noor se kul kainaat hai....
Shaadi ka intezaam malak dekh rahe hai,
Mehmaano ki aamad hai to masrufiaat hai..
Jibraeel hai pehlu me to rizvaan hai piche,
Kis shaan se nikli ye Ali(as) ki baraat hai...
Halka banaake baithi hai huraane jinaa sab,
Jo jashn ki markaz hai wo Zehra(sa) ki zaat hai...
Lo hogaye nikaah Ali(as) o Batool(sa) ke,
Kyu lab na muskuraae masarrat ki baat hai...
Jaari rahe kalam ki rawani teri 'Anees',
Is dar ke madhkhwaan ko milti najaat hai.....
-Anees Hyder.