Tuesday 16 September 2014

Fatema(sa), Zahra(sa) ki tarha deen ki tauqeer hai...

Fatema(sa), Zahra(sa) ki tarha deen ki tauqeer hai,
Binte Kaazim(as) Sayyeda ki hubahu tasveer hai....

Sur'ma dekha nahi aisa koi taareekh me,
Haske jo lashkar Rulaade sirf wo beshir hai....

Kyu na parwaane chale aaye dare shabbir(as) par,
Wehshato ki zulmato me bas yahi tanveer hai...

Dil se shayad hum nahi kehte hai maula Al Ajal,
Is liye hi aapke aane me ye takheer hai....

Aayate Quraan hai marta nahi koi shaheed,
Shah ka Neze pe jaake bolna tafseer hai...

Laa fataah illa Ali la saif illa zulfiqar,
Arsh me gunji sadaa naazil hui shamsheer hai....

Saat bete paake raahib bol utha ye fakhra se,
Fatema(sa) ka ladlaa to qaatibe taqdeer hai.....

Yaad ghaazi ko karo jab bhi pio paani Anees,
Chashme paani ke sabhi Abbas(as) ki Jaageer hai....

-Anees Hyder

Thursday 4 September 2014

Baaniye deen ka nigraan Abu talib(as) hai...

Baaniye deen ka nigraan Abu talib(as) hai,
Ba khuda bolta quraan Abu talib(as) hai....

Kufr ki baat na kar dhyaan se ae mufti sun,
Dar asal kaamile imaan AbuTalib(as) hai....

Ambiya aate nikaah padhne yaha Ahmed ka
Woto kr shukr nikaahkhwaan AbuTalib(as) hai..

ButParasto se nasihat karo imaa.n laaye,
Sadre avval se musalmaan AbuTalib(as) hai...

Tum na maano ye zalalat ki nishani hogi,
Din O Imaan ka mizaan AbuTalib(as) hai....

Farsh ke sath yaha dil bhi bicha do aakar,
Mehfil E jashn ka mehmaan AbuTalib(as) hai....

Ya Sin O Taha ko Imraan ne yu paalaa hai,
Jaise qur aan ka juzdaan AbuTalib(as) hai....

Rabne mursal se kaha maale khadija lelo,
Din ko chahiye ehsaan? Abutalib(as) hai...

Kisne dushwari me islaam pe ehsaan kiya,
Mohsin e deen hai imraan AbuTalib(as) hai.....

Aisa lagta he ki maula ne kaha muj ko 'Anees',
Manqabat likhde Ba-unwaan AbuTalib(as) hai....

-Anees Hyder

Deti ye sadaa qabr me Bint-E-Rasool hai....

Deti ye sadaa qabr me Bint-E-Rasool hai,
Me muntazir hu jiski wo nargis ka phool hai...

Barsaa rahe hai aag musalmaan uske ghar,
Quraan ki aayato ka jiske dar nuzool hai...

Rote hai yatimaan-E-Mohibbaan-E-Ahl-E-Bait,
Weeraan tere bagair mazaar-E-Batool(sa) hai....

Abbas(as) ki ek aas hai karbal ka inteqaam,
Maula teri Gaibat Me or ab kitna tool hai...

Gauhar'O'Moti jise kehti hai ye duniya,
Dar asl ye maula tere kadmo ki dhool hai....

Imaan samaya hai to bas Hubb-E-ALI(as) me,
Jannat hai Sheh ke gham me hamara usool hai....

Sochme aaye na kabi usko na socho,
ALI(as) ki shakhsiyat pe to hairaan uqool hai...

Ishq'O'Mohabbat ho to bas Aale Nabi(saw) se,
Warna to ye ehsaas tumhaare fuzool hai...

Mehshar me 'Anees' puchenge duniya ki kamai,
Keh dena ashq-E-Gham hi bas apna husool hai....

-Anees Hyder