Monday 30 June 2014

Hum mile unse magar khudko chhup chhupaake mile

Hum mile unse magar khudko chhup chhupaake mile,
Apne ashko ko Tah-E-Chasm kuch dabaake mile...
[Tah-E-Chashm - Aankho k niche]

Hasrat-E-Dil thi takallum ho kabhi unse magar,
Maherbaan Jab bhi mile khud nazar jhukaake mile...
[Takallum - COnversation/Baat Chit]

Darmyaan nafrate baaki thi magar wasl k din,
Labo pe apne tabassum thodi sajaake mile...
[Tabassum - Smile]

Mujhse milti hai teri yaad musalsal aakar,
Bas ye khwaaish hai meri tu bhi kabhi aake mile...

Shak ke darya me beh raha tha magar Shukr-E-Khuda,
Shak ki gehraayi me gauhar mujhe wafaake mile...

Nagma-E-Dil me sadaa zikr tera sunta hu,
Ghazal-E-Husn me charche teri adaake mile...
[Nagma-E-Dil - Dil ka geet/Song of Heart, Ghazal-E-Husn - Poem Of Beauty]

Zindagi humko mili na kahi duniya me 'Anees',
Hum apni mout ko aksar gale lagaake mile...

-Anees Hyder

Tuesday 24 June 2014


Mariz-E-Ishq hai tu fir bhi nah dawaa maange,
Dil-E-Betaab ye tufaan me bhi hawa maange....

Misl-E-Sehra ke me pyaasaa hua ae jaanaa,
Lab-E-Gustaakh mere tera hi nashaa maange...

Khol pinjaro ko agar ehsaas ho tere dilme,
Parinda ishq ka udneko jab fizaa maange....

Shehre ehsaas me gali hai mohabbat ki jaha,
Bhejdena agar mera koi pataa maange....

Muaaf kar dena yahi rit hai tadpaaneki,
Jabke zaalim kabhi khud zulm ki sazaa maange...

Tera wajud samaya hua hai jugnu me,
Rubaru hoke sanam tujse kyu diyaa maange....

Husn waalo se bahot maanga magar kuch na mila,
chal 'Anees' ab khuda ke ghar waha duaa maange.....

-Anees Hyder

Monday 9 June 2014

Aankhome samake mere dilme utr gaye,
pyaas or badhake mere saaki kidhr gaye.

zebetan libaase haya tha to is qadr,
aaya jo mera naam to leke thahr gaye...

Dekha jo haske baat wo krte h kisise,
is dile bekarar me tiro-tabr gaye...

Toda h baaghbaa'n ne jo ye gul, to samajkr,
Paakr ye teri zulf gule tar nikhr gaye. ..

Rakh apne husnko tu hijaabo Me hamesha,
didaare rukhe tanse kai-so h mar gaye. ..

Furkat h teri bas nah kabhi vasl hui h,
har mausam e bahaar bhi yu be-samar gaye...

Agar husn ka aashiq h tu ibrat to h yebhi,
Isme to zulaikha ke kai maalozr gaye...

Tujse yu juda hoke Anees zist nahi h,
mujse wo mere yaar yu kehkr guzar gaye...

-Anees Hyder
Humsa jo tu dikhta h hamara to nahi h,
Roshan h Jaise rukh ye sitara to nahi h,

Arsh b larzaan h ye kaisi h sadaaye,
Rudaade dile zaar tumhara to nahi h.

Baato me teri zauqe guftagu nahi kyukr,
Humse b tume ab koi pyaara to nahi h.

Udte h parinde q samandar ki wo jaanib,
Kashti se uthke dekho kinara to nahi h..

khamosh mehfilo me wo rehta h hamesha,
kya ishq'o'mohabbat ka wo maaraa to nahi h..

Waqte dafan nah dekh meri lash yu jukkar,
Dilsoz h, dilkash ye nazara to nahi h..

Shauqe tabiyat me kalam chalti Warna,
Is funse mere Jee ka guzara to nahi h...

Hamdard bahot h mere kehneko yu anees,
Dur hatke pukare wo sahara to nahi h...

-Anees Hyder.
Saaki tere maikhaane me insaaf nahi q,
Kabka tha muntazir me magar Jaam na aaya...

Hai din k ujalo me u ruswaa kiya humko,
Qaasid q mohabbat k sare-shaam na aaya...

Humne to sajaya tha bahot khub makaanko,
Afsos nim-e-shab b wo mehmaan na aaya...

Jab usne ye pucha k mohabbat h kisise,
Wo saamne mere the magar naam na aaya...

Andaaze sukhan se hi me pehchaan gaya hu,
Unka hijaabe rukh wo kisi kaam na aaya...

Sharm-o-haya ye dono tadapte h dahrme,
Par inko bachane koi insaan na aaya...

Dekha h mahve khwaab k mehshar me hu Anees,
Tujhpar to koi ishq ka ilzaam na aaya...

-Anees Hyder
Dil hogaya Tukde mera mar raha hu main,
Ruki si dhadkane h meri mar raha hu me,

Masruf wo rehte h faragat hame hi h,
Har pal us bekhabar k bina mar raha hu main,

Ye Tanhaiya, viraniya, udasiya dilki,
Koi to bataye unhe k mar raha hu main,

Kehna nah meri mout h ek khudkushi logo,
Qaatil h mera pyaar tabhi mar raha hu main...

Saanso me jo basti thi wo ab ruth gayi h,
Ruthi hui saanse h meri mar raha hu me...

Wo baate meri, nazme meri wo sher b mere,
Ye sb nah sunogi k bs ab mar raha hu main,

Wo khat mere, tohfe mere wo tujse mera pyaar,
Aaega bahot yaad tuje mar raha hu main,

Haalate bimaar nah tu dekh paegi,
aanese tere pehle hi mar raha hu main,

'Anees' unhe tu kehde janeze me na aaye,
De aakhri paigaam unhe mar raha hu main...

-Anees Haider
Ehsaas tere dilke lafzo me jatade,
Raaz tere dilke ab mujko batade,

Kuch tu kadam badaa to kuch me b badau,
Muddat ki duriyo ko tu ab jald mitade,

Wade jo bahot tune the humse kabi kiye,
Dil ye chahta h k bs unko nibhaade,

Har din wo judai k qayamat se nah kam the,
Firse yu dur jaaneki nah ab mujko sazaade,

Muddat k baad tujhko main jee bhar k dekhlu,
Chehre se apne tu ye hijaabo ko hataade,

Ho jau me madhosh na ab hosh me rahu,
Kuch aisa nasha ishqka mujpe tu chadaa de,

Baahome bharlo mujko nah ab dair karo tum,
Jannat h kya aaj ye mujhko tu dikhaade,

Socho nah judai ka mulakat me 'Anees',
Aisa nah ho ek lamha b aise tu gawaade...

-Anees Hyder.
Tanha nah tu howegi kabhi mujhpe yakin rakh,
Aansu nah tu dekhegi kabhu mujpe yakin rakh..

Agar dur me ho jau to ghabhra nah tu jana,
laotunga tere pass hi me mujhpe yakin rakh..

Insaan badal jaata hai waqt ke maanind,
Par me kabhi badlunga nahi mujhpe yakin rakh..

Shak ki jagah hai hi nahi pyaar me kahi,
Pyaar ye sachcha hai mera mujhpe yakin rakh..

Kehte ho mohabbat hai to wishwas bhi karo,
wishwas me hi pyaar hai mujhpe yakin rakh..

Majburiya hai kuch meri kuch tum bhi to samjo,
Aise nah tadpa tu mujhe mujhpe yakin rakh..

Koi nahi tere siwa is dil me ae sanam,
Tu hi to zindagi hai meri mujhpe yakin rakh..

Dil ye tera saaf hai, Khamosh ab 'Anees',
Kehneki zarurat hi nahi mujhpe yakin rakh..

-Anees Hyder.
Hai naqs mere dil pe wo nishaan tumhi to ho,
Jaari hai mere lap pe wo bayaan tumhi to ho,


Kismat ke sitaro ko dhundu me bhala kyu,
Kul meri hasrato ka aasmaan tum hi to ho...

Aab'O'hawa ki ab nah zarurat rahe mujhe,
Hu jisse me zinda wo meri jaan tumhi to ho...

Palke bicha ke sota hu me intezaar me,
Aaega jo khwaabo me wo mehmaan tumhi to ho...

Saanse to ukhadti hai 'Anees' fir bhi ye zinda hai,
Mout'O'hayaat ke bhi darmyaan tum hi to ho...

-Anees Hyder...
Karke jafaa wo puchte hai haal hai kaisa,
Andaaz ye kaisa hai ye sawaal hai kaisa...

Wo tere kabhi the hi nahi unka tu nah tha,
Unke yu ruth jaanese malaal hai kaisa...

Har baat bata deti hai khamoshi se mujhko,
Aankho me mere yaarki kamaal hai kaisa...

Shole jo uth rahe hai bagawat ke aajkal,
Hai koi kisika nahi ye saal hai kaisa...

Agar tu nahi qaatil to sharik-E-gunaah to hai,
Tu itna bata chehra tera laal hai kaisa...

Murde ki akad deta hai zindo ko kai baar,
Karta hai amiro ko asir ye maal hai kaisa...

Meto shikaar unke khayalo ka hu 'Anees',
Wajud me unke hai nihaa.n jaal ye kaisa...

-Anees Hyder.
Rukh yu hathose chhupaane ki zarurat kya h,
Ashq aankho se bahaane ki zarurat kya h..

Inko aankho se lagaakar tu padha krta tha,
khat sab unke jalaane ki zarurat kya h...

Unke aanese buja deta tha aksar inko,
Shammaa ab gharke bujaaneki jarurat kya h...

Tujhko dekhenge nahi wo kabhi ek lamha bhi ,
Naam hotho pe yu laaneki zarurat kya h...

Wo nah samjhenge wafa h tere dilme ab bhi,
Besabab pyaar jataaneki zarurat kya h...

Saans-E-Aakhir me bhi tadpega tera dil paiham,
Paas ab unko bulaaneki zarurat kya h...

Bol uthta h lahu zorse qaatil ka pata,
Naqs kadmo ke mitaane ki zarurat kya h...

Mar hi jaunga teri hijr se me zakhmi hu,
Zehar Ab Mujhko pilaane ki zarurat kya h..

Dilse Hamdard nahi hote sabhi Log yaha,
Zakhm sabko yu dikaaneki zarurat kya h....

Sochna kya h, chala tir, jaha jaaye 'Anees',
Sabhi qaatil h nishaane ki zarurat kya h...

-Anees Hyder.
Tanhai Shabe Hijr Ki Tab Or bad gayi,
Roshan tha jo chiraag bujaa kar gayaa koi...
[ shabe hijr- night of seperation ]

Rehti hai abto nam ye aankhen meri hardam,
Kuch is tarah se mujhko hasaa kar gayaa koi...


Jaa-e-mulakat pe ab ham na milenge,
mehdi lagaye haath dikha kar gayaa koi...
[ jaae mulakaat- place of meeting ]

Do-zaanu hoke khaak pe mera zamir tha,
Kuch is tarah se mujhko lutaa kar gayaa koi...

Aadaab-e-shab-vasl ka hamko pataa na tha,
Ronaa gale lagaake sikha kar gayaa koi...
[shabe vasl- night of meeting]

Hotho Ko mere uske lapo par yu see diyaa,
Pyaasaa tha meri pyaas bujhaa kar gayaa koi...

Har ghar, gali, kuchaa, ye shaher bhi hai baakhabar,
Zindagi ko meri fanaa kar gayaa koi...

ANEES tu intezaar qyu uska na karega,
Hai itna pyaar tujhse jataa kar gayaa koi...

-Anees Hyder
Is dil-e-bekaraar ko jab ke karaar tha,
Is dil ki dhadkano me dhadaktaa wo pyaar tha...


Mariz-e-ishq main hua, laadawaa hua,
Zakhmi Mujhe jo kar gaya aankho ka waar tha...


Unki justaju me har ghar meri dastak,
Hamse ab kul aashnaa unka dayaar tha...
[ justaju- search ]

Wo meri tabassum se samjhe ke main khush hai,
Mujhse bahot naa-aashnaa mera wo yaar tha...
[ naa-aashnaa- non.familiar ]

Did-e-rukh-e-yaara se wo mere chehre ka khilna,
Unse mohabbat me, wo mera izhaar tha...
[dide rukhe yaaraa- gaze of the face of beloved ]

Zindaan-e-dil-e-yaar pasand hamne kiya tha,
Ba-aasaan mayassar hame raahe faraar tha...


Sehraa-e-Mohabbat me, Main aagaaze safar tha,
Manzil ke darmyaan gamo ka gubaar tha...
[ sehraae mohabbat- desert of love ]

Us Bewafaa se teri wafae hai rang laayi,
"Anees" wafao me tu sabka meyaar tha...

-Anees Hyder
Dil me lagi hai aag bujhaane chale aao,
daaman pe daag-e-hijr dikhaane chale aao...
[ daage hijr- daage judai ]


Ranjish ho agar mujhse ya koi or gilaa ho,
Ehsaas tere dil ke jataane chale aao...
[ ranjish- Rosh ]


Dur abr-e-judai ho, did-e-aaftaab ho,
Shikwaa hi sahi dil hi dukhaane chale aao...
[ abre judai- clouds of seperation, dide aaftaab- vision of sun ]


Saahil pe mera naam tu tehreer kar gayi,
mohabbat ke wo nishaan mitaane chale aao...
[ tehreer- handwriting ]


Har mod pe nazre ye meri tujhko dhundti,
waadaa-e-mulakat nibhaane chale aao...


Andaaz-e-ishqiyaa wo teraa mujhko yaad hai,
Khwaabo me sahi mujhko sataane chale aao...


Anees wo teri khu se hai aashnaa bahot,
bas itna hi kehde ke rulaane chale aao...
[ khu-Aadat, aashnaa-familiar ]


-Anees Hyder
Hamdard-O-Hamsafar koi hamraah nahi h,
Baaki koi dilme mere ab aah nahi h..

Mat maangna jineki mere mannate koi,
Is dilko dhadakne ki koi chaah nahi h...

Dard ke darya me hu, saahil h koso dur,
Manzil ko pahochneki koi raah nahi h...

Is dahr me logo ko yu kehte huwe dekha, 
Karneko mere pass q gunaah nahi h...

Rakhte h khabar Dirham-O-Dirnaarki hardam,
Mehshar ki shakhtiyose q aagaah nahi h...

Sadko pe gire jaata maasum lahu q,
Hota ta'ajjub koi gawaah nahi h...

Padhte h namaaze Saf-E-Avval me hamesha,
Zebetan ek chiz bhi mubaah nahi h...

Khanjar ko chhupaaye h aastinome bhai,
Ho kispe bharosa koi panaah nahi h...

Mumkin h 'Anees' log ye dirham ko bolde,
Tere siwa mera koi Allaah nahi h...  

-Anees Hyder.
Raahe Haq Me Zar To Kya Sar Ko Lutana Chahiye,
Agar Hona Ho Jawed To Khudko Mitana Chahiye...

Shoukh Rakhta Hai Tu Zannat Ki Ziarat Ka To Sun,
Majlis-E-Shabbir(as) Me Aansu Bahana Chahiye...


Jisne Jalaya Hai Dar-E-Zehra(sa) Ko Wo Kaafir Hi Tha,
Usko Bhare Darbaar Me Zinda Jalana Chahiye...


Saamne Maula Ke Tera Maalo-Zar Kuch Bhi Nahi,
Inko To Bas Behlol Sa Sachcha Diwana Chahiye...


Parday-E-Gaibat Se Aajaaye Mere Maula Abhi,
Ya Rab Mujhe Mukhtar Ka Firse Zamana Chahiye...


Ishq-E-Haider Me MARE To Bhi Nahi Mitte Kabhi,
Apni Saanso Me ALI(as) Ka Wird Aanaa Chahiye...


Laakh Dushman Aa Bhi Jaaye Khouf Mat Khana 'Anees',
YA ALI(as) Kehke Tume Bas Muskurana Chahiye...


- Anees Hyder
A Poetry On Sorrow, Hope You Would Like IT....

Yu girte aansuo ki rawani koi likho,
Ujde huye gharo k kahani koi likho...

Karte hai justaju wo zamane me wafa ki,
Hai kon wafadar nishani koi likho...

MAA ke guzar Janeka hota hai kitna gum,
Dard Ye bachchoki Zubaani koi likho...

Bas Yu dhua dhua sa dikhta hai har ek su,
Hussian(as) ki wo tashna-dahani koi likho...

Zainab(as) ki alamdari wo khutbo ki balaghat,
Hai kon Fatema(sa) ki saani koi likho...

Armaan bahot the dil-E-Laila(sa) me byaah ke,
Lut ti hui Akbar(as) ki jawaani koi likho...

Uthte to bahot hath dauo me hai 'ANEES'.
Kiski Duae Rabne hai maani koi likho....

-Anees Haider..
Ye Dil Kyu Dhadakta Hai Thahar Jaaye To Acha,
Kehte Hai Mujhe Log Guzar Jaaye To Acha...

Hai Rang Ghamo Ka Mere Chehre Pe Numaya,
Ab Mujhpe Gham-E-Mout Nikhar Jaaye To Acha...

Rehmat Khuda Ki sarse Utar Jaanese Pehle,
Insaan Tera Ghurur Utar Jaaye To acha...

Uljhi Ye Zindagi Kya Ulajhti Hi Rahegi..?
Marne Se Mere Pehle Sawar Jaaye To Acha...

Zarre Ko Aaftaab Banane Pe Tu Qaadir,
Ya Rab 'Anees' Pe Teri Nazar Jaaye To Acha...

-Anees Hyder.
Apne Jazbo Se Aasmaan Ko Jukaane Waale,
KOn Hai Haq K Liye Sar Ko Kataane Waale....

Dilse Karte Hai Dua Amn Ki Saahil Pe Khade,
Aag Paani Me Charagose Lagaane Waale...

Tere Lehje Me Shabahat Ye Nazar Aati Hai,
Yaad Aate Hai Mujhe Mujhko Hasaane Waale...

Zukhm Talwaaro Ke Teero Ke Sajaa Lenge Hum,
Zulm Ke Aage Nahi Sar Ko Jukaane Waale....

Hum To Baadal Hai Balandi Me Raha Karte Hai,
Hum To Darya Hai, Kinaare Hai Zamaane Waale...

Hum To Shole Hai Hawao Se Bhadak Jaate Hai,
Hum Nahi Aag ko Funko Se Bujaane Waale...

Hum Ko Rokega Zamaanaa Ye Batao KyuKar,
Hum Hai Deewaar Me Bhi Dar Ko Banaane Waale...

Isse Kya Jeet Teri Khub Ho Sakti Hai 'Anees',
Karte Hai ZIkr Tera Tujhko Mitaane Waale....

-Anees Hyder..
Aati h khayalo me aksar nah jaane q ye baat kabhi,
Jaise tu mere hamraah chale, or ho jaaye barsaat kabhi,


sunta hu k baate krte h wo raat k jonko se aksar,
jaakr ae saba khamoshi se Krna tu meri baat kabhi.

Har saans qayamat lagti h, pal pal h mera itna bhari,
kabhi tu bhi to milne aa mujhse, de mujhko b lamhaat kabhi.

mushtaaq jahaan sara h tera, fursat hi kaha h ab tujhko,
jab yaad meri aa jaaye kabi, sunnaa mere jazbaat kabhi.

khwaabo ko b dekhte rehte h ab jaagti aankho se aksar,
Suraj ne jagaya h humko nah sone deti raat kabhi,

Kya pyaar tera ek dhokah h? waade jo kiye wo sachche h?
tanha q me rehta hu aksar? tu sochna ye har baat kabhi.


Likhne jo 'Anees' me baitha tha dhoke jo mile mujhko saare,
tb warq mere kam padne lage, kam padne lagi dawaat kabhi...

-Anees Hyder.