Saturday 28 February 2015

Nara Ali(as) ka aisa hai naro.n ke darmyaan

Nara Ali(as) ka aisa hai naro.n ke darmyaan,
Qur'aan jis tarha he kitaabo.n ke darmiyaa.n...

Jayse siyaah raat me roshan ho maahtaab,
Naame Hussain(as) aisa hai lafzo.n ke darmyaa.n...

Rumaal Fatema(sa) ka mila hai use abhi,
Charcha hai aaj Hur ka bhi huro.n ke darmyaa.n...

Jaez nahi hai matame zanjeer, hay gazab,
Kaisi ye baat aagayi logo.n ke darmyaa.n...

Ghaazi jo mashq leke chala tha suye naher,
Ummid eyk jaagi thi bachcho.n ke darmyaa.n..

Jab jab ye baat aati hai rota hu me bahot,
Pyaasa tha ek sageer bhi pyaaso.n ke darmiya.n...

Zakhmo.n se choor ho ke nawaasa rasool ka
Sajdah khuda ko karta hai teero.n ke darmyaa.n...

Ruhe Rasool(saw) ko bhi ho aaraam kis tarah,
Dekha dare Batool(sa) ko sholo.n ke darmyaa.n...

Allaah kamsini thi kya Asgar(as) ki ae Anees,
Alfaaz bhi na aaye the hontho.n ke darmyaa.n...
-Anees Hyder