Thursday 8 January 2015

ek Qata Rasool(saw) Ki Shaan Me...

Isaar o Azm o Izz o Sharafat Rasool(saw) hai,
Jiski khuda bhi karta hai midhat Rasool(saw) hai...
Bas sirf zamee.n tak hi ye mehdood nahi hai,
Dono jahaa.n ke waste rehmat Rasool(saw) hai...

17 RabiUl Awwal.....


Wiladat E Sadiqain sabko mubarak...

Chand sher haazir hai...
_______________________

Chand haskar kabhi ashjaar bhi chal kar bole,
Baat aajaaye jo Ahmed(saw) ki to paththar bole...

Jabke logo ne risalat ki gawaahi maangi,
Mustufa(saw) haq hai, yahi haath pe kankar bole...

Fayl jaati thi hawao me iram ki khushbu,
Shehr e yasrab me jidhar shafi e mehshar bole...

Khud sadaqat bhi uthaati thi naaz uska bahot,
Is tarah sach hi mere Maula E Jafar(as) bole...

Jab kahi foolse takraake hawa aati hai,
Aisa lagta hai ke jaise kahi Asgar(as) bole...

Dasht e Karbal me gale jabke Shahido ke kate,
Hoke tar khun me tab LA ILAAH khanjar bole...

Khutba e Aabid e Bimaar(as) ye kehta hai hame,
Bas bahadur hai wahi shakhs jo muh par bole...

Aise Marhab ko Yadullaah ne maari zarbat,
Al amaa.n jung me jibraeel ke sheh(as) par bole...

Mo'ajiza hai ye Hussain Ibne Ali(as) ka warna,
Kaise mumkin hai ke neze pe koi sar bole...

Taziye se bhi alam uncha hai q k Abbas(as),
Saamne sheh(as) ke sada sar ko jukaakar bole...

Nusrate haq me munafiq rahe khamosh magar,
Kabhi Meesam kabhi Salman o Abu zar bole....

Tum salamat raho maddaah e Ali o Sarwar(as)
Meri turbat me nakirain ye aakar bole...

Kiski himmat ke hilaega waha labko Anees,
Baap ke lehje me jab shah(as)ki khwahar bole..

-Anees Hyder

Monday 5 January 2015

1st Rabbiul Awwal, Yaume Shahadate J.Mohsin

1st Rabbiul Awwal, Yaume Shahadate J.Mohsin

Baade Rasool zulm yu dhaate hai musalmaa.n,
Purse ki rasm khoob nibhaate hai Musalmaa.n,
Binte nabi ke ghar ko jalaate hai musalmaa.n,
Darwaaza sayyada pe giraate hai musalmaa.n...

Mohsin ko haae qable tavallud kiya shaheed,
Pahelu sikasta kar diya yeh zulm the mazeed...

-Anees Hyder

Alwida..


Ae sada e haq ke baani wajh e imaa.n alwida,
Ae garib e karbala ae noor e quraa.n alwida,
Ae Ali(as) o Fatema(sa) ki rahat o Jaa.n alwida,
Ae charaga e hidayat dee.n ke sultaa.n alwida....
Har gadi maula ham ashqo se ye aankhe dhoenge,
Jab talak zinda rahenge tere gam me royenge,

-Anees Hyder

J.Masuma E Qum(sa) k yaum E Rehlat pe taziyat pesh karte huye kuch sher.

Salamun Alaikum,
J.Masuma E Qum(sa) k yaum E Rehlat pe taziyat pesh karte huye kuch sher.....
___________________
Ae azadaro suno ye kya qayamat ho hayi,
Qum ki shehzadi ki gurbat me shahadat ho gayi...

Sayyeda(sa) bhi Fatema(sa) k gum me hai nauhakuna,
Kehkashaa.n bhi haay gum me surkh rangat ho gayi..

Baap ke gham me abhi the mubtela moula Taqi(as),
Aur dunya se fufi jaa.n ki bhi rehlat ho gayi...

Jab suna ke bhai uska mar gaya gurbat me hi,
Fatema e Qum(sa) ki tab naasaaz halat ho gayi...

Kehti thi Hamsheer e maula e Reza yu bhai se
Tujhpe girya o buqaa hi meri qismat ho gayi....

Hijr me bhai ke bejaa.n hogayi thi Fatema(sa),
Rote rote is jahaa.n se wo bhi rukhsat ho gayi...

Faatema e qum(sa) hai Zainab(sa) aur Sughra(sa) ki tarah,
Jis bahen ki bhai se mashur ulfat ho gayi....

Ye riwayat hai ke gar tumne ziarat Qumki ki,
Goya Fatema e Zehra(sa) ki ziarat ho gayi...

Haath katwakar dam e aakhir bahot rote huye,
Puchte hai Sheh(as) se Ghaazi kya ita'at ho gayi...
__________
Ek ishara kar diya chalti hawae ruk gayi
Kis kadar Zainab(sa) wasi teri Riyasat ho gayi..

Arz e karbal se nazara khuld ka tune kiya,
Hur(as) bata roshan teri kaise baseerat ho gayi..
___________
Bin sawaare gesu e sher o sukhan tumko Anees,
Nind aati hi nahi ye kaisi aadat ho gayi...

-Anees Hyder

Eid E Zehra


*Eid E Zehra Mubarak*

Gulshan e zehra khushi se aaj taazaa hogaya,
Ek tabassum se munavvar kul madina hogaya...

Baage jannat ki hawae mehfilo me aa gai,
Rutbe me ye farsh bhi arsh e mo'allaa hogaya..

Gharme jinke naalaa o matam hamesha aam tha,
Unke darpe ab khushi ka Aana jana hogaya...

Haa.n rukhe Aabid(as) ki ek muskan ke hi noor se,
Aaj gharme Sayyeda(as) ke fir ujala hogaya..

Baad e Karbal Aabid e bimaar gamse choor the,
Ha magar is roz se thoda madawa hogaya...

Jabse tune gamzada EhleHaram ko khush kiya,
Aalaa o badtar tera Mukhtaar rutba hogaya...

Kabza nehre alqama pe krna yu aasaan tha,
Gaazi ne bas dur se darya ko dekha hogaya...

Kumbi iznillaah se murde jilaate the Maseeh(as),
Kum bi izni kehke Hyder(as) fakhre Esaa(as) hogaya...

Lutfe Arjumandi mujhko mil gaya usdam kahi,
Jabke khaak e paay e Sheh(as) pe mera sajda hogaya...

Roand sakte hai bahattar laakh ko paau tale,
Raaz ye karbobala me aashkara ho gaya...

Ye ataa e panjetan hai ae Anees e khushbayaa.n,
Eyk lamhe me hasi.n tera ye maqta hogaya...

-Anees Hyder